Saturday, 30 March 2024

Gusul ka bayan

Gusul karne waali ko chahiye ke pehle gatte tak dono haathon ko dhoye phir istinje ki jagah dhowe hath aur istinje ki jagah par najasath ho tab bhi aur na ho tab bhi hr haal me un dono ko pehle dhona chahiye phir jaha badan par najasath lagi ho paak kare phir wazu kare aur agar kisi chouki ya pathar par gusul karti ho tho wazu karte waqth pair bhi dholewe aur agar aisi jagah he ke pair bahr jawenge aur gusul ke baad phir dhone padenge tho saara wazu kare magar pair na dhowe phir wazu kee baad 3 martaba daahne kandhe par phir 3 baar baayen kandhe Par pani daale is tarah ke saare badan par paani behjawe phir us jagah se hat kar paak jagah me aawe aur phir pir dhowe aur agar wazu ke waqth pair dholiye ho tho ab dhone ki haajath nahi 

(2) pehle sari badan par achi tarah hath pherlewe tb paani bahawe ta ke sab kahen achi tarah paani pahunch jaawe khi sookha na ho 

(3)gusul ka tareeqa jo abhi hum ne bayan kiya sunnath ke muwafiq he usme se baaz cheeze farz he ke be unke gusl durust nahi hotha aadmi na paak rehta he.aur baaz cheeze sunnat he unke karne se sawab miltha he aur agar na kare tho bhi gusl hojaatha he farz faqth 3 cheeze he (1)istarah kulli karna ke saare muh me paani pahunch jaawe (2) nak me pani daalna jaha tak naak naram he (3) saare badan par paani pahunchana

(4) gusul krte waqth qibla ki taraf muh na kare aur paani bahut zyada na phenke aur na bahut kam lewe ke achi tarah gusl na karske aur aisi jagah gusl kare ke usko koi na dekhe aur gusl karthe wqth baathe na kare aur gusul ke baad apna badan kisi kapde se ponch daale aur badan dhakne me bahut jaldi kare yha tak ke agar wazu karte waqth pair na dhoye ho tho gusl ki jagah se hat kar pehle apna badan ddake phir donon pair dhoye 

(5) agr tanhayi ki jagah ho jaha koi nahi dekh paaye tho nange hokar nahana bhi durst he chaahe khadi ho kar nahaye ya baith kar aur chaahe gusul khaana ki chat pati ho ya na pati ho lekin baith kar nahana behtar he kyun ke usme parda zyada he aur naaf se lekar ghutnon ke neeche tak dusri aurath ke samne bhi badan kholna gunah he Aksar aurathe dusri aurathon ke saamne bilkul nangi hokar nahathi he ye badi buri aur begirathi ki baat he 

(6)jab saari badan pr pani padjaawe aur kulli karle aur naak me paani daal le tho gusul ho jaawega chaahe gusl krne ka iraada ho chaahe na ho tho agar pani baraste me thandi hone ki garz se khadi hogayi ya houz wagaira me girpadi aur sab badan bhig gaya ur kulli bhi Karli ur naak me bhi paani daal liya tho gusl hogy isi tarah gusul karte waqth kalima padna ya padkar pani pr dum karna bhi zaruri nahi chaahe kalima pade ya na pade har haal me aadmi paak hojaatha he balke nahathe waqth kalima ya aur koi dua na padna behtar he uswaqth kuch na pade 

(7)agr badan bhr me baal brabar bhi sookhi reh jaaye gi tho gusul na hoga isi tarah agar gusul krte waqth kulli krna bhool gayi ya naak me paani nahi daala tho bhi gusul nahi hua 

(8) agar gusul ke baad yad aawe ke falani jagah sookhi rehgayi thi tho phir se nahana wajib nahi balke jaha sookha rehgaya tha usi ko dholewe lekin faqth haath pher lena kaafi nahi he balke thoda Pani lekar uus jagah bhana chahiye aur agar kulli karna bhool gayi ho tho ab kulli karle agar naak me paani na daala ho tho ab daale garz ke jjo cheez reh gayi ho ab usko karle naye sare se gusul karne ki zarurat nahi

(9)agar kisi bimari ki wajah se sar pr paani daalna nuqsaan kare aur sar chod kar saara badan dholewe tab bhi gusul durust ho gya lekin jab achi hojaawe tho ab sar dhodaale phir se nahane ki zarurat nahi

(10) peshaab ki jagah aage ki khaal ke andar paani pahunchana gusul me farz he agar paani na pahuncha tho gusul nahi hoga 

(11)agr se ke baal gande hue na ho tho ab Baal bhigona aur Saari jadon me paani pahunchana farz he ekk baal bhi sookh rehgya ya ek baal ki jad me pani nhi pahuncha tho gusul na hoga agar bekhole sab jadon me pani na pahunch sake tho khol daale aur baalon ko bhi bhigode 

(12)nth aur baakiyon aur angothi challon ko khoob hila lewe ke paani suraakhon me pahunch jaawe aur agr baaliyan na pehne ho tab bhi qasd karke suraakhon me paani daal de aisa na ho ke paani na pahunche aur gusul na ho albatha gar angothi challe deele ho ke be hilaaye bhi paani pahunch jaawe tho hilana wajib nahi lekin hilalena mustahab he 

(13)agar naakhun me aata lag kar sookh gaya aur uske andar paani nahi pahuncha tho gusul nahi hu jab yaad aawe aur aat dekhe tho aata chuda kar paani daal le aur agar paani pahunchane se pehle koi namaz padli ho tho usko lotawe 

((14)haath pair phat Gaye aur usme mom Rogan ya aur koi dawa bhar li tho uske upar se paani bahalena durust he 

(15)Kaan aur naaf me bhi khiyaal karke paani pahunchana chahiye -paaani na pahunche ga tho gusul na hoga

(16)agar nahathe waqth kulli nahi ki lekin khoob muh bhar ke paani peeliya ke saari muh me paani pahunch gaya tho gusul hogaya kyunki matlab tho saari muh me pani pahunch jaane se he kulli kare ya na kare albatha agar aisi paani peelewe ke saari muh bhar me paani na pahuche tho ye peena Kaafi nahi he kulli karlena chahiye

(17) agar baalon me ya hath Peron me tel laga hua he ke badan par paani achi tarah tehrtha nahi he balke padthe hi dhalak jatha he tho uska kuch harj nahi jab saare badan aur saare sar par paani daal liya gusul hogaya 

(18)agar daanthon ke beech me Dali ka dohr phans gaya tho usko khilaal se nikaal daale agar uski wajah se daanthon ke beech me paani na pahunche ga tho gusul na hoga

(19)maathe par afshaah chuni he ya baalon me itna goondh laga he ke baal achi tarh na bhigenge tho goondh khoob chuda daale aur afshaan dhodaale agr goondh ke neeche paani na pahunche ga upar hi upar behjaawega tho gusul na hoga

(20) agr Missi ki dhadi jamayi he tho usko chuda kar kulli kare nhi tho gusul na hoga

(21)kisi ki aankhen dukhti he isliye uske aankhon se keechad bahut nikla aur aisa sookh gaya ke agar usko na chudawegi tho uske neeche aankh ke koye par paani na pahunche ga tho iska chuda daalna wajib he be uske chudaaye na wazu durust he na gusul_











Friday, 29 March 2024

Wazu ki thodne wali cheezon ka bayan urdu

 (1) Pakhana peshaab aur hawa Jo peeche se nikle us se wazu toot jaatha he albatha agar aage ki raah se hawa nikle jaisa ke kbhi bimaari se aisa hojaatha he tho is se wazu nahi toot'tha aur agar aage ya peechese koi keeda jaisa ke kenchuwah ya kankari wagairah nikale tho bhi wazu toot gaya.

(2) agar kisi ke koi zakhm hua isme se keeda nikle ya kaan se nikla ya zakhm me se kuch gosht kat ke girpada aur khoon nahi nikla tho us se wazu nahi toot'tha

(3) agar kisi ne fasdli ya naksewr phooti ya chot lagi aur khoon nikal aaya ya phode phunsi se ya badan bhar me aur kahi se khoon nikla ya peep nikli tho wazu jatha Raha albatha agar zakhm ke muh hi par rahe zakhm ke muh se aage na bade tho wazu nahi gaya tho agar kisi ke sooyi chubh gayi aur khoon nikal aaya lekin baha nhai he tho wazu nahi toot'tha aur jo Zara bhi beh pada ho tho wazu toot gaya

(4) agr kisi ne naak sinki aur usme Jame hue khoon ki phatkiya nikle tho wazu nahi gaya,, wazu jab toot'ta he ke pathla khoon nikle aur beh pade so agr kisi ne apni naak me unngli Dali phir jab usko nikaala tho ungli me khoon k dhabba maaloom hua lekin wo khoon bas itna hi he ke ungli me tho zara sa lag jaatha lekin behta nahi tho us se wazu nahi toot'tha

(5) kisi ke aankh ke andar koi daana wgairh tha wo toot gaya ya khud usne thod Diya aur uska paani beh kar aankh me tho phel gaya lekin aankh ke baahar nahi nikla tho uska wazu nahi toot'tha aur agar aankh ke baahar paani nikal pada tho wazu toot gaya isi tarah agar Kan ke andar daana ho wo toot jaaye tho jab tak khoon peep surakh ke andar us jagah tak rahe jaha paani pahunchana gusul karte wqth farz nahi hai tab tak wazu nahi jatha aur jab aisi jagah par aajawe jaha Pani pahunchaana farz hai tho wazu toot jaawega

(6)kisi ne apne phode ya chaale ke upar ka chilka nooch daala aur uske neeche khoon ya peep dikhayi Dene laga Lekin wo khoon peep apni jagah par tehra he kisi taraf nikal ke baha nahi tho wazu nahi toota aur jo beh pada tho wazu toot gaya

(7) kisi ke phoode me bada gehra ghawo hogya tho jab tak khoon peep us ghawo ke suraakh ke andar hi Andra he bahar nikal kar badan par na aawe us wqth tak wazu nahi toot'tha

(8)agar phode phunsi ka khoon aapse nahi nikla balke usne daba ke nikala hai tab bhi wazu toot jaawega jabke wo khoon behjaaye 

((9)kisi ke zakhm se Zara Zara khoon nikalne laga isme uspar mitti daaldi ya kapde se ponch liya phir Zara sa nikla usne ponch daala aur isi tarah kyi dafa Kiya ke khoon behne na paya tho dil me soche agar aisa maloom ho ke agar poncha na jatha tho beh padtha tho wazu toot jaawega aur agar aisa ho ke poncha na jatha tab bhi na behta tho wazu nhi tootega

(10) kisi ke thook me khoon maloom hua tho agar thook me khoon bahut kam he agar thook ka rang sufedi ya zardi mayil he tho wazu nahi gaya aur agar khoon zyada ya barabr he aur rang ssurkhi mayil he tho wazu toot gaya

(11) agar daanth se koi cheez Kati ur is cheez par khoon ka dhabba maaloom hua ya daanth me khilaal kiya ur khilaal me khoon ki surkhi dikhayi di lekin thook me bilkul khoon ka rang maloom nahi hotha tho wazu nahi toot'tha

(12) kisi ne jhonk lgwayi aur jhonk me itna khoon bhar gaya ke agar beech se kaatdo tho khoon beh pade tho wazu jatha Raha aur jo itna na piya ho balke bahut kam piya ho tho wazu nahi toota aur agar machar ya makki yaa khatmal ne khoon Piya tho wzu nahi toota 

(13) kisi ke kaan me dard hotha he aur pani nikla karta he tho ye paani jo kaan se behta he najis he agr se kuch phoda ya phunsi na maloom hui ho tho pas uske nikalne se wazu toot jaayega jb kaan ke suraakh se nikal kar us jagah tak aajawe jis ka dhona gusl karthe waqth farz he isi tarah agar naaf se paani nikale ur drd bhi hotha ho tho us se bhi wzu toot jawega aise hi agar aankhen dukhti ho aur khatakti ho tho paani behne aur aansu nikalne se wazu toot jaatha he aur agar aankhen na dukhti ho na isme kuch khatak ho tho aansu niklne se wazu nahi toot'tha

(14) agar chaati se paani nikaltha he aur dard bhi hotha he tho wo bhi najjis he is se wazu jaatha rahe ga aur agar drd nhai he tho najis nahi he aur is se wazu bhi na tootega 

(15) agar qai hui aur isme khana ha paani ya pith gire tho agar muh bhar qai hui tho wazu toot gay aur muh bhar qai nahi hui tho wzu nahi toota aur muh bhar hone ka ye matlab he ke muskhil se muh me ruke aur agar qai me nira balgam gira tho wazu nai gaya chaahe jitna ho muh bhar ho chaahe na ho sab k ek hukm he ir agr qai me khoon gire tho agr patla behta hua ho tho wazu toot jawega chahe kam ho chaahe zyada muh bhar ho ya na ho aur agar jama hua tukde tukde gire aur muh bhar ho tho wazu toot jaawega aur agar Kam ho tho wazu na jaayeg 

(16) agar thodi thodi karke kayi dfa qai hui lekin sb Mila kar itni he ke gar ek dfa me girthi tho mih bhar hojaathi tho agar ek hi mathli barabar baaqi rahi aur thodi thodi qai hothi rahi tho wzu toot gaya aur agar ek hi mathli barabar nahi rahi balke pehli dafa ki mathli jaathi rhi thi aur jee acha hogaya tha phir dohra kar mthli shuru hui aur thodi qai ho gayi phir jab ye mathli jaathi rahi tho theesri dafa phir mathli shuru ho kar qai hui tho wazu nahi toota 

(17)lete lete aankh lg gayi ya kisi se cheez se tek lga kar baite bite so gayi aur aisi gaflath hogayi ke agar wo tek na hothi tho girpdthi tho wazu jaatha raha aur agar namaz me baite baite ya khade khade sojawe tho wazu nahi gaya aur agr sjde me sojaaye tho wzu toot jayega

(18) agar namaz se bhr baite baite soye aur apna chothad yedi se daba lewe aur diwaar wgaira kisi cheez se tek bhi na lagawe tho wzu nhi toot'tha 

(19) baite hue neend ka isa jhowka aaya ke girpadi tho agar girke fouran aankh khul gayi ho tho wazu nahi gaya aur jo girne ke zara bad aankh khuli ho tho wazu jatha Raha aur agar baiti jhoomthi rahi giri nahi tab bhi wazu nahi gaya 

(20) agar behoshi hogyi ya junoon se aqal jathi rahi tho wazu jatha Raha chaahe behoshi aur junoon thodi hi der Raha ho aise hi agar tambaaku wagaira koi Nasha ki cheez khali aur itna Nasha hogaya ke achi tarah chala nahi jaatha aur qadam idhr udhar behkta aur dagmagatha he tho bhi wazu jaatha raha 

(21) agar namaz me itni zor se hasi nikl gayi ke usne aap bhi apni awaaz sunli aur uske paas waaliyon ne bhi sab ne sunli jaise khilkhil kar hasne me sb pass waaliyan sunlethi he is se wazu yootgaya aur namaz bhi toot gayi aur agar aisa ho ke apne ko tho awaaz sunti dewe magr sab paas waliyan na sun sake agarche bahut hi paas waali sunle us se namaz toot jawegi wazu na tootega aur agar hasi me faqth daanth khulgaye awaaz bilkul nahi nikli tho na wazu toota na namaz gayi albatha agar choti ladki jo abhi jawaan na hui ho zor se namaz me hase ya sajda e tilawath me bdi aurath ko hasi awe tho wazu nahi jatha Haan wo sajda aur namaz jaathi rahe gi jisme hasi aayi 

(22) wazu ke bad nakhun kataye ya zakh ke upr ki murdar khaal noch Dali tho wazu me koi niswaan nahi aaya na tho wazu ke dohrane ki zarurat h he aur na itni jagah ke phir tar karne ka hukm he 

(23) wazu ke baad kisi ka satar dekh liya y apna satar khula ya nngi ho kar nahayi aur nangi hi wazi kiya tho iska wazu durust he phir wazu dohrne ki zarurat nahi albatha badun lachaari ke kisi ka satar dekhna ya apna dikhlana gunah ki baat he 

(24) jis cheez ki nikalne se wazu tootjaatha he wo cheez najis hothi he aur jisse wazu nahi toot'tha wo najis bhi nahi tho agar Zara sa khoon nikla ke zakhm ke muh se baha nahi yya Zara si qai hui muh bhar nhi hui aur isme khana ya paani ya pith ya jama hua khoon nikla tho ye khoon aur ye qai najis nahi he agar kapde ya badan me lagjaawe uska dhona wajib nahi aur agar muh bhar kar qai hui aur khoon zakhm se beh gaya tho wo najis he uska dhona wajib he aur agar itni qai karke katore ya lote ko muh laga kar ke kulli ke waaste paani liya tho wo bartan na paak hojawega isliye chullu se paani len chahiye 

(25)chota ladka Jo doodh daltha he uska bhi yehi hukm he ke agar muh bhar na ho tho najis nhi he aur jb muh bhar ho tho najis he agr be uske dhoye namaz padegi tho namaz na hogi 

(26)agar wazu Karna tho yaad he uske bad wzu tootna achi tarah yaad nhi ke toota he ya toot nahi tho uska wazu baaqi samjha jayega usi se namz durust he lekin wazu phir krlena behtr he 

(27)jis ko wazu krne me Shak hua ke Falana azu dhoya ya nhi tho wo azu phir dholena chahiye aur agar wazu Karchukne  ke bd Shak hua tho kuch parwa na kre wazu hogaya aur gar yaqeen hojaawe ke Falana bat rehgayi he tho usko karlewe

(28)bewazu Qura'an mjeed k choona durust nahi haan agr aisi kapde se chule jo badan se juda ho durst he dupatta yy kurte ke daaman se jabke usko pehne odhe hue ho chuna durust nahi haan agar utra hu ho tho us se choon durust he aur zubaani padna durst he aur gar kalaam e majeed khula hua rakha he aur usko dekh dekh ke pada lekin haath nhi lagaya tho ye bhi durust he isi tarah bewazu aise taweez aur aise tashtari ka choona bhi durust nhi he jis me Qura'an ki aayat likhi ho khoob yaaad rakho









ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...