(21) thaambe ke bartan,takiye aur gadhe wagairah kapde par tayammum karna durust nahi albatha agar us par itni gard he ke hath maarne se khoob udthi he aur hatheliyon me khoob achi tarah lag jaathi he tho tayammum durust he aur agar haath maarne se zara zara gard udthi ho tho bhi us par tayammum durust nahi he aur mitti ke gade badni par tayammum durust he chahe usme paani bhara hua ho ya paani na ho lekin agar uspar lak phira hua ho tho us par tayammum durust nahi
(22) agar pathar par bilkul gard na ho tab bhi tayammum durust he balke agar paani se khoobb dhula hua he tab bbhi durust he haath par gard ka lagna kuch zaroori nahi he isi tarah pakki eent par bbhi tayammum durust he chaahe us par kuch gard ho chaahe na ho
(23) keechad se tayammum karna go durust he magar munaasib nahi agar kahi keechad ke siwa aur koi cheez na mile tho ye tarkeeb kareke apne kapde me kheechad bhar lewe jab o sookh jaawe tho us se tayammum karle akbatha agar namaz ka waqth hi nikla jaatha ho tho us waqth jis tarah ban pade tar se ya khushk se tayammum karle namaz na qaza hone de
(24) agar zameen par peshaab wagairh koi najaasath pad gayi sur dhoop se sookh gayi aur badboo bhi jaathi rahi tho wo zameen paak hogayi is par namaz durust he lekin is zameen par tayammum karna durust nahi jab maloom ho ke ye zameen aisi he aur agar maloom na ho ke wehem na kare
(25) jis tarah wazu ki jagah tayammum durust he usi tarah gusul ki jagah bhi majboori ke waqth tayammum durust he aise hi jo aurath haiz aur nifaas se paak hui ho majboori ke waqth usko bhi tayammum durust he wazu aur gusul ke tayammum me koi faraq nahi donon ka ek hi tareeqa he
(26) agar kisi ko bathlane ke liye tayammum kiya ho ya lekin dil me apna taymuum karne ki niyyath nahi balke faqth usko dikhlana maqsood he tho iska tayammum nahoga kyun ke tayammum durust hone me tayammum karne ka iraada hona zaroori he tho jab tayammum karne ka iraada na ho balke faqth dusre ko bathlana aur dikhlana maqsood he tho tayammum na hoga
(27) tayammum karthe waqth apne dil me bas itna iraad karle ke my paak hone ke liye tayammum karta hun ya namaz padne ke liye tayammum karti hun tho tayammum hojaaye ga aur ye iraada karna ke my wazu ka tayammum karti hun ya gusul ka kuch zaroori nahi he
(28) agar quraan e majeed ke choone ke liye tayammum kiya tho us se namaz padna durust nahiu he aur agar ek namaz ke liye tayammum kiya dusre waqthki namaz bhi us se padna durust he au quraan e majeedka choona bhii is tayammum se durust he
(29) kisi ko nahane ki bhi zaroorath he aur wazu bhi nahi he tho ek hhi tayammum karle donon ke liye alag alag tayammum karne ki zaroorath nahi
(30) kisi ne tayammum karke namaz padi phir paani milgaya aur waqth bhi baaqi he tho namaz ko dohrana waajib nahi yehi namaz tayammum se durust hogayi
(31) agar paani ek meel sharyi se door nahhi lekin waqth bahut tang he ke agar paani lene ko jaawe gi tho waqth jaatha rahega tho bhi tayammum durust nahi he paani laawe aur qaza kare
(32) paani moujood hothe waqth quraan e majeed ke choone ke liye tayammum karna durust nahi
(33) agar paani aage chal kar milne ki ummeed ho tho behtar he ke awwal waqth namaz na pade balke paani ka intezaar karle lekin itni der na lagawe ke waqth makru hojaawe aur agar paani ka intezaar na kiya awwal hi waqth namaz padli tab bhi durust he
(34) agar paani paas he lekin ye dar he ke agar rail par se ythre gi tho rail chaldewegi tab bhi tayammum durust he ya saanp wagairah koi jaanwar paani ke paas he is se paani nahi mil sakta tho bhi tayammum durust he
(35) asbaabke satha paani bandha tha lekin yaad na raha aur tayammum karke namaz padli phir yaad aaya ke mere asbaab me tho paani bandha hua he tho ab namaz ka dohraana waajib nahi
(36) jitni cheezon se wazu toot jaatha he unse tayammum bhi toot jaatha he aur paani miljaane se bhi tiit jaatha he isi tarah agar tayammum karke aage chali aur paani ek meel sharyi se kam faasla par regaya tho bhi tayammum toot gaya
(37) agar wazu ka taymmumn he tho wazu ke muafiq paani milne se tayammum tootega aur agar gusul ka tayammum he tho jab gusul ke muafiq paani milega tab tayammum tooteg agar paani kam mila tho tayammum nahi toote ga
(38) agar raste me paani mila lekin usko paani ki kuch khabar na hui aur maloom na hua ke yeha paani he tho bhi tayammum nahi toota isi tarah agar rasta me paani mila aur maloom bhi hogaya lekin rail par se na uthar saki tho bhi tayammum nahi toota
(39) agar bemaari ki wajah se tayammum kiya he tho jab bemaari jaathi rahe ke wazu aur gusul nuqsaan na kare tho tayammu toot jaawega abb wazu karna aur gusul karna waajib he
(40) paani nahi mila is wajah se tayammum karliya phir aisi bemaari hogayi jis se paani nuqsaan kartha ho phir bemaari ke baad paani mil gaya tho ab wo tayammum baaqi nahi raha jo paani na milne ki wajah se kiya tha phir se tayammum kare
(41) agar nahane ki zaroorath thi is liye gusul kiya lekin zara sa badan sookha reh gaya aur paani khatam hogaya tho abhi wo paak nahi hui isliye usko tayammum karlena chahiye jab kahi paani mile tho itni soookhi jagah dholewe phir se nahane ki zaroorath nahi he
(42) agar aise waqth paani mila ke wazu bhi toot gaya tho us sookhi jagah ko pehle dho lewe aur wazu ke liye tayammum karle aur paani itna kam he ke wazu tho hosakta he lekin wo sookhi jagah itne paani me nahi dhosakti tho wazu karle aur is sookhi jagah ke waaste gusul ka tayammum karle haan agar is gusul ka tayammum pehle karchuki ho tho ab phir tayammum karne ki zaroorath nahi wohi pehla tayammum baaqi he
(43) kisi ka kapda ya badan bhi najis he aur wazu ki bhi zaroorath he aur paani thoda he tho badan aur kapda dholewe aur wazu ke auz tayammum kare
wallahu ta'ala aalamu bis'sawaab