(1)jab koi roza ki nazar maane tho iska poora karna awaajib he agar na rakhegi tho gunahgaar hogi
(2)nazar 2 tarah ki he ek tho ye he ke din taareekh muqarrar karke nazar maani ke ya allah agar aaj fulaan kaam hojaaye tho kal hi tera roza rakhunhi ya yun kaha ke ya allah meri fulaan muraad poori hoaaye tho parson jumma ke din roza rakhungi aisi nazar me agar raat se roze ki niyyath kare tho bhi durust he aur agar raat se niyyat na ki tho dopehar se ek ghanta pehle pehle niyyat karlewe ye bhi durust he nazar ada hojaawe gi
(3) jumma ke din roza rakhne ki nazar maani aur jab jumma aaya tho bas itni niyyath karli ke aaj mera roza he ye muqarrar nahi kiya ke ye nazar ka roza he ya ke nafil ki niyyath karli tab bhi nazar ka roza ada hogaya albath is jumma ko agar qaza roza rakhliya aur nazar ka roza rakhna yaad na raha ya yaad tho tha magar qasdan qaza ka roza rakha tho nazar ka roza ada na hoga balke qaza ka roza hojaye ga nazar ka roza phir rakhe
(4) aur dusri nazar ye he ke din taareekh muqarra karke nazar nahi maani bas itna hi kaha ya allah agar mera fulaan kaam hojaaye tho ek roza rakhungi ya kisi kaam ka naam nahi liya waise hi kehdiya ke 5 roze rahungi aise nazar me raat se niyyat karna shart he agar subah hojaane ke baad niyyath ki tho nazar ka roza nahi hua balke wo roza nafil hogaya
No comments:
Post a Comment