(1)agar aasmaan par baadal he ya gubaar he is wajah se Ramadan ka chaand nazar nahi aaya lekin ek deendaar parhezgaar sache aadmi ne agar gawahi di ke mai ne Ramadaan ka chaand dekha he tho chaand ka subooth hogaya chaahe wo mard ho ya aurath ho
(2)Agar badli ki wajah se eid ka chaand na dikhayi diya tho ek shaks ki gawahi etebaar nahi he chaahe jitna bada muatabar aadmi ho ballke jab 2 muatabar parhezgaar mard ya ek deendaar mard aur 2 aurathe apne chaand dekhne ki gawahi dewe tab chaand ka subooth hoga aur agar 4 aurathe gawahi de tho bhi qubool nahi
(3)jo aadmi Deen k paaband nahi barabar gunah karta rehta he maslan namaz nahi padtha ya roza nahi rakhta ya jhoot bola karta he ya aur koi gunah karta he shariath ki paaband nahi karta tho sharaa me uski baath ka kuch eatbaar nahi he chaahe jitni qasme kha kar ke bayan kare balke agar aise 2,3 aadmi ho unka bhi eatebaar nahi
(4)ye jo mash'hoor he ke jis din rajab ki chouthi us din Ramadaan ki pehli hothi he shariath me uska bhi kuch eatebaar nahi he agar chaand na ho tho roza na rakhna chahiye
(5)chaand dekh kar ye kehna ke chaand bahut bada he kal ka maloom hotha he buri baat he hadees me aaya he ke ye qiyamath ki nishaani he jab qiyamath qareeb hogi tho log aisa kaha karenge khulasa ye he ke chaand ke bade chote honeka bhi kuch eatebaar na karo na hinduon ki us baat ka eatebaar karo ke aaj doij he aaj zaroor chaand he shariath me ye sab baathe waahiyaath he
(6) agar aasmaan bilkul saaf ho tho 2,4 aadmiyon ke kehne aur gawahi dene se bhi chaand saabith na hoga chaahe ramadaan ka chaand ho chaahe Eid ka albatha agar itni kasrath se log apna chaand dekhna bayan kare ke Dil gawaahi Dene Lage ke ye sab ke sab baat bana kar nahi aaye he itne logon ka jhoota hona kisi tarah nahi hozaktha tab chaand saabith hoga
(7)sheher bhar me ye khabar mash'hoor he ke kal chaand hua bahut logon ne dekha lekin bahut dhoonda talaash Kiya phir bhi koi Aisa aadmi nahi miltha jis ne khud chaand ko dekha ho tho aisi khabar ka kuch eatebaar nahi
(8)kisi ne ramadaan shareef ka chaand akele dekha siwaye uske shehar bhar me kisi ne nahi dekha lekin ye Shara ki paaband nahi he tho uski gawahi se shehar waale tho roza na rakhe lekin khud ye roza rakhe aur agar us akeli dekhne waali ne 30 roze poore karliye lekin abhi Eid ka chaand nahi dikhayi Diya ektiswen (31) roza bhi rakhe aur shehar waalon ke sath Eid kare
(9)Agar kisi ne Eid ka chaand akele dekha isliye uski gawahi ka shareeath ne eatebaar nahi kiya tho us dekhne waale aadmi ko bhi Eid karna durust nahi he subah ko roza rakhe aur apne chaand dekhne ka kuch eatebaar na kare aur roza na thode.
No comments:
Post a Comment