Ramadaan Shareef ke beeswe (20) tareekh ke din chupne se Zara pehle se Ramadan ki 29 ya 30 tareekh yaani jis din eid k chaand nazar aajaawe us tareekh ke din chupne tak apne ghar me jaha namaz padne ke liye muqarrar kar rakhi ho us jagah par paabandi se jam kar baithe usko eatikaaf kehte he uska bada sawaab he,agar eatikaaf shuru kare tho faqth pakhaana peshaab ya khane peene ki naachaari se tho waha se utna durust he aur agar koi khana paani Dene waala ho tho uske liye bhi na uthe har waqth usi jagah rahe aur wahi sowe aur behtar ye he ke bekaar na rahe Qura'an padthi rahe aur nifilen aur tasbeeheen Jo toufeeq ho usme lagi rahe aur agar haiz ya nifaas aajawe tho eatikaaf chod den usme durust nahi- aur eatikaaf me mard se humbistari hona lapetna chimatna bhi durust nahi.
No comments:
Post a Comment