Saturday, 27 April 2024

HAJ KA BAYAN

jis shakhs ke paas zaruriyaat se zaayid itna kharch ho ke sawaari par mutawasith guzaraan se khaatha, peetha chala jaawe aur haj karke chala aawe uske zimma haj faraz ho jaatha he aur haj ki badi buzrugi aayi he chunaanch JANAAB E RAOOSLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya he ke jo haj gunahon aur kharabiyon se paak ho uska badla bajaz e behisht ke aur kuch nahi isi tarah umra bhi bade sawaab ka waada farmaya gaya he chunache HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM  ne farmaaya he ke haj aur umra donon ke donon gunahon ko is tarah door karthe he jaise bhatti lohe ke mail ko door karthi he aur jis ke zimma haj faraz ho aur wo na kare uske liye badi dhamki aayi he chunanche RASOOLULLAH SALLALALLHU ALAIHI WASALLAM ne farnaya he jis shaks ke paas khane,peene aur sawaari ka itna saamaan ho jis se wo baitullah shareef ja sake aur phir wo haj na kare tho wo yahudi ho kar mare ya nasrani ho kar mare khuda ko iski kuch parwaah nahi aur ye bhi farmaaya he ke haj ka tark karna islaam ka tareeqa nahi he....

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...