(1) umar bhar me ek martaba haj karna farz he agar kayi haj kiye hto ek faraz hua aur sab nafil hue aur unka bhi bahut bada sawaab he
(2) jawaani se pehle ladakpan me agar koi haj kiya he tho uska kuch eatebaar nahi agar maaldaar he tho jawaan hone ke baad phie haj karna farz he aur jo haj ladakpan me kiya he wo nafl he
(3) andhi par haj faraz nahi he chaahe jitni maaldaar ho
(4) jab kisi par haj faraz hogaya tho nfourabn usi saal haj karna waajib he bila uzar der karna aur ye jkhiyyaal karna ke abhi umar padi he phir kisi saal haj karlenge durust nahi he phir wo 2,4 baras ke baad haj karliya tho adaa hogaya lekin gunahgaar hui
(5) haj karne ke loiye raasthe me apne shohar ka ya kisi moharam ka sath hona bhi zaroori he bagair iske haj ke liye jaana durust nahi he haan albatha agar makke se itni door par rehthi ho ke uske ghar se makke tak 3 mazil na ho tho be shohar aur mehranm ke sath hue bhi jaan adurust he
(6) agar wo mehram n balig ho ya aisa bad'deen ho ke maa behan wagairah se bhi ispar itminaan nahi tho uske saath jaana durust nahi
(7) jab koi mehram qaabil e itminaan sath jaane ke liye mil jaawe tho wo haj ko jaane se shohar ka rokna durust nahi he agar shohar roke bhi tho uski baat na maane chali jaawe
(8)jo ladki abhi jawaan nahi hui lekin jawaani ki qareebb hochuki he isko ko bhi bagair sharyi mehram ke jaan adurust nahi aur gair mehram ke sath jaana bhi durust nahi
(9) jo mehram isko haj karane ke liye jaawe uska saara kharcgh usi par waajib he ke jo kuch kharch ho dewe
(10) agar saari umar aisa mehram na mila jis ke sath safar kare hto haj na karne ka gunah na hoga lekin marthe waqth ye wasiyyath karjaana waajib he ke meri taraf se haj kara dena marjaane ke baad uske waaris usi ke maal me se kisi aadmi ko kharch de kar bheje ke wo jaa kar murda ki taraf se haj kar aawe-us se us zumma a haj uthar jaawega aur us haj ko jo dusron ko taraf se kiya jaatha he haj e badal kehte he
(11) agar kisi ke zumma haj farz tha aur us ne susthi se der kardi phir wo andhi hogayi ya aisi beemaar hogayi ke safar ki qaabil na rahi to us ko bhi haj e badal ki wasiyyath karjaana chahiye
(12) agar wo itna maal chod kar mari ho ke qaraz wagairah de kar tihayi maal me se haj e badal kara sakthe he tab tho waaris par uski wasiyyath ka poora karna aur haj e badal karwana waaib he-aur agar maal thoda he ke ek tihaayi me se haj e badal nahi hosakta tho uska wali haj na karwaaye-haan agar aisa kare ke tihaayi maal murda ka dewe aur jitna zyada lage wo khud dede tho albatha haj e badal karasakta he garz ye he ke murde ka tihaayi maal se zyada na dewe-haan agar uske sab waaris bakhushi raazi hho jaawe ke hum apna hissa na lewenge tum haj e badal karado tho tihaayi maal se zyada laga dena bhi durust he lekin na baalig warison ki ijazath ka sharaa me kuch eatebaar nahi he is liye unka hissa hargiz na lewe
(13) agar wo haj e badal ki wasiyyat hkar ke mar gayi lekin maal kam tha isliye tihaayi maal me haj e badal na hosaka aur tihaayi se zyada lagane ko warison ne khushi se manzoor na kiya isliye haj nahi karaya gaya tho is bechaari par koi gunah nahi
(14) sab wasiyyathon ka yehi hukm he so agar kisi ke zimma bahut roze ya namaze qaza baaqi the ya zakaath baaqi thi aur wasiyyath kar ke mar gayi tho faqth tihaayi maal se ye sab kuch kiya jaawega tihaayi se zyada bagair waarison ki wali razamandi ke lagana jayez nahi he aur uska bayan pehle bhi aachuka he
(15) bagair wasiyytah kiye uske maal me haj e badal karana durust nahi he haan agr sab waaris khushi se manzoor karle tho jayez he aur in sha allah haj e farz adaa hojayega magar nabalig ki ijazath ka kuch eatebaar nahi
(16) agar ye aurath iddath me ho tho iddath chod kar haj ko jaana durust nahi
(17) jis ke paas makke ke aamad wa rifath ke laayeq kharch ho aur madeena ka kharch na ho uske zimma haj faraz hoga baaz aadmi samajhte he ke jab tak madeena ka bhi kharz na hojaana farz nahi ye bilkul galath khayaak he
(18) ehraam me aurath ko muh dhaankne me muh se kapda lagan durust nahi aaj kal is kaam ke liye ek jaalidaar pikha biktha he uske chere par baand liya jaawe aur aankhon ke rubaruh jaali rahe is par buqa pada rahe ye durust he
(19) masaayil e haj ke mutalluq haj kiye na samajme aasakte he na yaad rehsakte he aur jab haj ko jaathe he waha muallim log sab bathla dethe he isliye likhne ki zarurath nahi samjhi isi tarah umraa ke tarkeeb bhi waha jaa kar maloom hojaathi he
wallahu aalamu ta'ala bis'sawaab
No comments:
Post a Comment