Sunday, 21 April 2024

HAR MUSALMAAN KO RAAT DIN IS TARAH REHNA CHAHIYE

(1) zarurath ke muafiq deen ka ilm haasil kare khwah kitaab pad kar ya aalimon se puch kar
(2) sab gunahhon se bache
(3) agar koi gunah hojaaye tho fouran touba kare
(4) kisi ka haq na rakhe kisi ko zubaan se ya haath se takleef na de kisi ki buraayi na kare
(5)maal ki muhabbath aur naam ki khwahish na rakhe, na bahut ache khane kapde ki fikr me rahe
(6)agar uski khata par koi toke tho apni baat na banaye fouran iqraar aur touba kare 
(7)badoon e sakht zarurat ke safar na kare,safar me bahut se baate be ehtiyaati ki hothi he ,bahut si nek kaam choot jaathe he wazeefon me khalal pad jaatha he,waqth par koi kaam nahi hotha he.
(8) bahut na hanse, bahut na bole,khaas kar na mehram se be takallufi ki baate na kare 
(9) kisi se jhagda takraar na kare
(10)shara ka har waqth khiyaal rakhe
(11) ibaadath me susti na kare
(12)zyada waqth tanhaayi me rahe 
(13)agar auron se milna jhulna pade tho sab se aajiz hokar rahe ,sab ki khidmath kare badayi na jathlaye
(14) ameeron se bahut hi kam mile
(15)bad deen aadmi se door bhaage
(16)dusron ka aib na dhoonde,kisi par bad gumaani na kare,apne aibon ko dekha kare aur unki dosthi kiya kare
(17)namaz ko achi tarah aur ache dil se paabandi ke sath ada karne ka bahut khiyaal rakhe
(18) dil aur zubaan se har waqth allah ki yaad me rahe,kisi waqth gaafil na raho
(19)agar allah ka naam lene se maza aaye,dil khush ho tho allah ta'ala ka shukr baja laaye
(20) baat narmi se kare
(22) jo kuch ranj gum nuqsaan pesh aaye allah ta'ala ki taraf se jaane,pareshaan na ho,aur yun samjhe ke usme mujh ko sawaab milega
(23) har waqth dil me duniya ka hisaab kitaab aur duniya ke kaamon ka zikr mazkoor na rakhe,balke khiyaal bhi allah ka rakhe
(24)jaha tak hosake dusron ko faida pahunchaye,khwah duniya ka ya deen ka 
(25)khane peene me na itni kami kare ke kamzor ya beemaar hojaaye na itni zyadathi kare ke ibaadath me susthi hone lage
(26)allah ta'ala ke siwa kisi ki tama'a na kare,na kisi ki taraf khiyaal doudaye ke fala jagah se hum ko faida hojaaye
(27)allah ta'ala ki talaash me bechain rahe
(28)niamath thodi ho ya bahut us par shukr baja laaye aur faqr o faaqa se thang dil na ho 
(29)jo uski hukumath me he unki khata wa qasoor se darguzar kare 
(30)kisi ka aib maloom hojaaye tho usko chupaaye albatha agar koi kisi ko nuqsaan pahunchaana chahta he aur tum ko maloom hojaaye tho us shakhs se kehdo
(31)mehmaanon aur musaafiron aur gareebon aur aalimon aur alla waale faqeeron ki khidmath kare 
(32)har waqth allah ta'ala se dara kare
(33)mouth ko yaad rakhe 
(34)kisi waqth bait kar roz ke roz apne din bahr ke kaamon ko socha kare,jo neki yaad aaye us par shukr kare,gunah par toubah kare
(35)jhoot hargeez na bole
(36)jo mehfil khilaaf e sharah ho waha hargiz na jaaye 
(37)sharm wa haya aur bardbaari se rahe 
(38)un baaton par magroor na ho ke mere andar aisi khoobiyan he
(39)allah ta'ala se dua kiya kare ke nek raah par qaayim rakhe
(40)nek sohabbath ikhtiyaar kare 

ALLAH HUMSAB KO IN SAB BAATHON PAR AMAL KARNEKI TOUFEEQ NASEEB KARE

AAMEEN 

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...