(1) jab koi kaam karne ka iraada kare tho allah miya se silah lelewe is sila lene ko istikhara kehte he hadees me iski bahut targeeb aaayi he nabi kareem salallahu alaihi wasallam ne farmaya he ke allah ta ala se sila na lena aur istekhara na karna badbakhti aur kam naseeebi ki baat he kahi mangni kare ya biyah kare ya safar kare ya aur koi kaam kare tho be istekhara kiye na kare tho in sha allahu ta ala kabhi apne kiye par pashemaan na hogi
(2) istekhara ki namaz ka tareeqa ye he ke pehle 2 rakaath nafil namaz pade iske bad khoob dil laga ke ye dua pade allahumma inni astakheeruku bi ilmika wa astaqdiruka bi qudrathika wa as`aluka min fazlikal azeem fa innaka taqdiru wala aqdiru wa taalamu wala aalamu wa antha allamul guyoob allahumma inkuntha ta`alamu anna (haazal amra) khairullee fee deeni wa ma`aashi waa aaqibathi amri faqdiruhu wayassirhuli summa baarikli feehi wa in kuntha ta`alamu anna haazal amra sharrulli fee deeni wa ma`ashi wa aaqibathi amri fasrifhu anni wasrifni anhu waqdir liyal khaira haisu kaana summa arzini bih aur jab hazal amra par pahunche jo bracket me he uske padthe waqth usi kaam ka khiyaal karle jis ke liye istekhara karna chahthi he uske baad paak wa saaf bichone par qibla ki taraf muh karke ba wazu so jaawe jab so kar uthe us waqth jo baat dil me mazboothi se aajawe wohi behtar he usi ko karna chahiye
(3) agar ek din me kuch maloom na ho aur dil ka khuljaan aur taraddud na jaawe tho dusre din phir aisa hi kare isi tarah 7 din tak kare in sha allahu ta ala zaroor is kaam acha ya burayi maloom hojaayegi
(40 agar haj ke liye jaana ho tho ye istekhara na kare ke my jaun ya na jaun balke yun istekhara kare fulaan din jaaun ke na jaun
No comments:
Post a Comment