Thursday, 4 April 2024

Jin cheezon se roza nahi toot'tha aur Jin cheezon se roza tootjaatha he aur qaza ya kaffar lazim aatha he unka bayan

 (1)agar rozedaar bhoole se kuch khaale ya Peelewe ya bhoole se khawind se humbistar hojaawe tho uska roza nahi gaya aur agar bhool kar pet bhar bhi kha peelewe tab bhi roza nahi toot'tha agr bhool kar kayi dafa kha pee liya tab bhi roza nahi gaya

(2) ek shaks ko bhool kar kuch khaate peethe dekha tho agar wo us qadar taaqathdaar he ke roza se zyada takleef nahi hothi tho roza yaad dila Dena waajib he aur agar koi na taaqathdaar ho ke roze se takleef hothi he usko yaad na dilaawe khane dewe 

(3) din ko Sogayi aur aisa khwab dekha jis se nahane ki zarurat hogayi tho roza nahi toota

(4)din ko surma lagana tel lagana khooshboo soongna durust he isse roze me kuch nuqsaan nahi aatha chaahe jis waqth ho- balke surma lagane ke baad thook me ya reant me surma ka rang dikhayi de tho bhi roza nahi gaya na makru hua

(5) mard aurath ke sath letna hath lagana pyaar karna ye sab durust he lekin agar jawaani kar itna Josh ho ke in baaton se sohbath karne ka dar ho tho aisa na karna chahiye makru he 

(6) halaq ke andar makhi chali gayi ya aap hi aap dhuwan chala gaya ya gurd o gubaar chala gaya albatha agar qasdan aisa kiya tho roza jaatha raha 

(7)lobaan wagairah koi dhooni sulgayi phir usko apne paas rakh kar soongha ki tho roza jaatha raha usi tarh huqqah peene se bhi roza jaatha rehta he albatha us dhuwen ke siwa itar kewdah gulaab phool wagairah aur khooshboo soongna jis me dhuwaan na ho durust he

(8) daanthon me gosht ka reshma atka hua tha ya Dali ka duhra wagaira koi aur cheez thi usko khilaal se nikaal kar kha gayi lekin muh se bahar nahi nikaala aap hi aap halaq me chali gayi tho dekho agar chane se kam he tab tho Roza nahi gaya aur agar chane ke barabar ya us se zyada he tho jaatha raha albath agar muh se bahar nikaal liya tha phir uske baad nigal gayi tho har haal me roza toot gaya chahe o cheez chane ki barabar ho ya us se bhi kam ho donon ka ek hukm he 

(9)thook nigalne se roza nahi jaatha chaahe jitna ho

(10) agar paan kha kar khoob kulli gar gara karke muh saaf kar liya lekin thook ki surkhi nahi gayi tho uska kuch harj nahi roza hogaya

(11)raat ko nahane ki zarurat Hui magar gusul nhi kiya din ko nahayi tab bhi roza hogaya balke agar din bhar na nahawe tab bhi roza nhi jaatha albtha uska gunah alag hoga

(12) naak ko itne zor se sudak liya ke halaq me chali gayi tho roza nhi toota usi tarah muh ki raal sudak karke nigal jaane se roza nahi jaata

(13) muh me paan daba kar sogayi aur subah hojaane ke baad ankh khuli tho Roza nahi hua qaza rakhe aur kaffara waajib nahi

(14) kulli karte waqth halaq me paani chala gaya aur Roza yaad tha tho Roza jaatha raha qaza waajib he kaffara waajib nahi

(15) aap hi aap qai hogyai tho roza nahi gaya chaahe thodi se qai hui ho ya zyada albatha agar apne ikhtiyaar se qai ki aur bhar muh qai hui tho Roza jaatha raha aur agar us se thodi ho tho khud karne se bhi nahi gaya  

(16) thodi si qai aayi phir aap hi aap halaq me lout gayi tab bhi roza nahi toota albatha agar qasdan louta lethi tho roza toot jaatha

(17) kisi ne kankari ya lohe ka tukda wagairah koi aisi cheez khali jisko nhi khaya karthe aur na usko koi batour e dawa ke khata he tho uska roza jath raha lekin us pr kaffara waajib nahi aur agar aisi cheez khayi ya pee jis ko log khaya karte he ya koi aisi cheez he ke yun tho nahi khate lekin batour e dawa ke zarurat ke waqth khathe he tho bhi roza jatha raha aur qaza wa kaffara donon waajib he 

(18)agar mard se humbistari hui tab bhi roza jaatha raha uski qaza bhi rakhe aur kaffara bhi dewe

(19)roze ke thodne se kaffara jab hi laazim hotha he jab ke ramadaan Shareef me roza thod daale aur Ramadaan Shareef ke siwa aur kisi roze ke thodne se kaffara wajib nahi hotha chahe jis tarah thode agarche wo roza ramadaan ke qaza hi kyun na ho albatha agar is roze ki niyyat raat se na ki ho ya Roz thodne ke baad usi din haiz aagaya ho tho iske thodne se kaffara wajib nahi 

(20) kisi ne roze me naas liya ya kaan me tel daala ya jullaab me amal liya aur peene ki dawa nahi pee tab bhi roza jaatha raha lekin sirf qaza wajib he aur kaffara waajib nahi aur agr kaan me paani daala tho roza nahi gaya

(21) roze me peshaab ki jagah koi dawa rakhna ya tel wagaira koi cheez daalna durust nahi agar kisi ne dawa rakhli tho roza jaatha raha qaza waajib he kaffara waajib nahi 

(22) muh se khoon nikaltha he isko thook ke sath nigal gayi tho roza toot gaya albatha agar khoon thook se kam ho aur khoon ka maza halaq me maloom na ho tho roza nahi toota 

(23) agar zubaan se koi cheez chak kar thook di tho roza nahi toota lekin bezaroorath aisa karna makru he haan Agar kisi ka shohar bada badmizaaj ho aur ye dar ho ke agar saalan me namak paani durust na ho tho naak me dam kar dega isko namak chaklena durust he aur makru nahi 

(24) apne muh se chaba kar chote bache ko koi cheez khilana makru he albatha iski zarurat pade aur majboori aur nachaari hojaaye tho makru nhi 

(25) koila chaba kar daanth maanjna aur manjan se daanth maanjna makru he aur agar isme se kuch halaq me utar jaawega tho roza jaatha rahe ga aur miswaak se daanth saaf karna durust he chaahe sukhi misawaak ho ya taazi usi waqth ki thodi hui agar neeb ki miswaak he aur uska kadwapan muh me maaloom hotha he tab bhi makru nahi 

(26) koi aurath gaafil sorhi thi ya behosh sorahi thi us se kisi ne sohbath ki tho roza jaath a raha faqth qaza wajib he kaffara waajib nahi aur mard par kaffara bhi waajib he

(27) kisi ne bhoole se kuch kahaliya aur yun samjhi ke mera roza toot gaya is wajah se phir qasdan kuch kha liya tho ab roza jaatha raha faqth qaza wajib he kaffara waajib nahi

(28) agar kisi ko qai hui aur wo samjhi ke Mera roza toot gya is guman par phir qasdan khaliya aur Roza thod diya tho bhi qaza waajib he kaffara waajib nahi 

 (29) agar surma lagaya ya fasad li ya tel dala phir smjhi ke mera Roz toot gaya aur phir qasdan khaliya tho qaza aur kaffara dono waajib he  

(31) ramadaan ke mahine me agar kisi k Roza ittefaaqan toot gaya tho roza tootne ke baad bhi din me kuch khana peena durust nahi he saara din rozedaaron ki tarah rehna waajib he 

(32) kisi ne Ramadaan me roze ki niyyat hi nahi ki isliye khati peethi rahi uspar kaffara waajib nahi kaffara jab he ke niyyath karke thod dewe..










No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...