(1) jis ke paas saade bawan thola chaandi ya saade saath thola Sona ya itni hi qeemath ka sooudagiri ka asbaab ho usko shareeath me maldaar kehte he aise shakhs ko zakaath ka paisa Dena durust nahi he aur usko zakaath ka paisa Lena aur khana bhi halaal nahi isi tarah jiske paas itni hi qeemath ka maal ho jo soudagiri ka asbaab tho nahi lekin zarurat se zaayid he wo bhi maaldaar he aise shakhs ko bhi zakaath ka paisa Dena durust nahi agarche khud us qisam ke maaldaar par zakaath bhi waajib nahi
(2)aur jis ke paas itna maal nahi balke thoda maal he ya kuch bhi nahi yaani ek din ke guzaara ke muwafiq bhi nahi usko gareeb kehte he aise logon ko zakaath ka paisa Dena durust he aur un logon ko Lena bhi durust he
(3) badi badi dege aur bade bade farsh faroosh aur shamiyaane Jin ki barson me ek aadh dafa kahi shaadi biyaah me zarurat padthi he aur Roz marrah ki zarurat nahi hothi wo zaruri asbaab me dakhil nahi
(4)rehne ka ghar aur pehanne ke kapde aur kaam kaaj ke liye noukar chaakar aur ghar ki ghasthi jo Aksar kaam me rehti he ye sab zaroori asbaad me dakhil he uske hone se maldaar nahi hogi chaahe jitni qeemath ki ho isliye usko zakaath ka paisa Dena durust he isi tarah pade hue aadmi ke paas uski samajh aur bartaau ki kitaabe bhi zaruri asbaab me daakhil he
(5) kisi ke paas 10,5 makaan he Jin ko kiraaya par chalaathi he aur uski aamdani se guzarthi he ek aadh gaaun he jis ki aamdani aathi he lekin baal bache aur ghar me khane peene waale log itne zyada he ke achi tarah basar nahi hothi aur tangi rehti he aur uske paas koi aisa maal bhi nahi jis me zakaath waajib hothi he tho aise shakhs ko bhi zakaath ka paisa Dena durust he
(6) kisi ke paas 1000 rupiye naqad moujood he lekin wo poore 1000 rupiye Ka ya us se bhi zaayid ka qarazdaar he tho usko bhi zakaath ka paisa Dena durust he aur agar qaraz 1000 rupiye se kam ho tho dekho qarza dekar kitne rupiya bachte he agar itne bache jitne me zakaath waajib hothi he tho usko zakaath ka paisa Dena durust nahi aur agar us se kam bache tho Dena durust he
(7) ek shaks apne ghar ka bada maaldaar he lekin kaahi Safar me aisa ittefaaq hua ke uske paas kuch kharch nahi raha saara maal chori hogaya ya aur koi wajah aisi huyi ke ab ghar tak pahunche bhar ka bhi kharch nahi aise shakhs ko bhi zakaath ka paisa Dena durust he aise agar haaji ke paas raaste me kharch chuk gaya aur uske ghar me bahut maal o doulth he usko bhi dena durust he
(8) zakaath ka paisa kisi kafir ko dena durust nahi musalman hi ko dewe aur zakaath aur ushr aur sadqa fithr aur nazar aur kaffara ke siwa aur khair khairaath kaafir ko bhi dena durust he
(9) zakaath ke paise se masjid banana ya kisi lawaaris murdaa ka gor o kafan kardena ya murde ki taraf se uska qarza ada kardena ya kisi aur nek kaam me lagadena durust nahi jab tak kisi mustahiq ko na diya jaaye zakaath ada nahi hogi
(10) apne zakaath ka Paisa apne maa baap ,daada,dadi,naana,naani,pardaada,pardaadi,wagairah Jin logon se ye paida hui he unko Dena durust nahi he isi tarah apni aulaad aur pothe parothe nawaase wagaira jo log uski aulaad me daakhil he usko bhi dena durust nahi isi tarah Bibi apne Miya ko aur Miya Bibi ko zakaath nahi desakthe
(11)un rishtedaaron ke siwa sab ko zakaath dena durust he jaise bhaayi,behen,bhatiji,bhaanji,chacha,phupi,khala,maamu,sotheli maa,sothela baap,sothela dada,saas,khusr wagaira sab ko dena durust he
(12)na baalig ladke ka baap agar maaldaar ho tho usko zakaath dena durst nahi aur agar ladka ladki baalig hogAye aur khud wo maaldaar nahi lekin unka baap maaldara he tho unko Dena durust he
(13)agar chote bache ka baap tho maaldaar nahi lekin maa maaldaar he tho us bache ko zakaath ka paisa Dena durust he
(14) sayyadon ko aur ulwiyon ko usi tarah jo hazrath Abbaas (r.a) ki ya hazrath jaafar (r.a) ki ya hazrath aqeel (r.a) ki ya hazrath haariz (r.a) bin Abdul muttalib ki aulad me ho unko zakaath ka paisa Dena durust nahi usi tarah jo sadqa shareeath se waajib ho uska dena bhi durust nhi jaise nazar,kaffara,ashr sadqa fithr aur uske siwa aur kisi sadaqa khairaath ka dena durust he
(15) ghar ke noukar chaakar khidmath gaar maama, daayi khilaayi wagairah ko bhi zakaath ka paisa Dena durust he lekin inki tankhwa me na hisaab kare balke tankhwa se zaayid batour e inaam e ikraam ke deden aur dil me zakaath dene ki niyyath rakhe tho durust he
(16) jis ladke ko tum ne doodh pilaya he usko aur jisne bachpan me tum ko doodh pilaya he usko bhi zakaath ka paisa Dena durust he
(17) ek aurat ka meher 1000 rupiya he lekin uska shohar Bahut gareeb he ke ada nahi karsakta tho aisi aurath ko bhi zakaath ka paisa Dena durust he aur Agar uska shouhar ameer he lekin meher detha nahi ya usme apna meher muaaf kardiya tho bhi zakaath ka paisa Dena durust he aur agar ye umeed he ke jab maangungi tab adaa karega tho aisi aurat ko zakaath ka paisa Dena durust nahi
(18) ek shaks ko mustahiq samajh kar Zakaath dedi phir maaloom hua ke wo tho maaldaar he ya sayyad he ya andhiyaari raat me kisi ko dediya phir maloom hua ke wo tho meri maa thi ya meri ladki thi ya aur koi aisa rishtedaar he jisko zakaath dena durust nahi tho un sab surathon me zakaath adaa hogyi dubaara adaa karna waajib nahi lekin lene waale ko agar maaloom hojaaye ke ye Zakaath ka paisa he aur me Zakaath lene ka mustahiq nahi hun tho na lewe aur pher dewe aur agar Dene ke baad maloom ho ke jisko diya he wo kaafir he tho Zakaath ada nahi hui phir adaa kare
(19)agr kisi par shubah ho ke maloom nahi ke maaldaar he ya mohtaaj he tho jab tak tehqeeq na hojaaye usko zakaath na dewe agar betehaeeq kiye dediya tho dil zyada kidhhar jaatha he agar dil ye gawahi detha he ke wo faqeer he tho zakaath adaa hogayi aur agar dil ye kahe ke wo maaldaar he tho zakaath adaa nahi hui phir se dewe lekin agar Dene ke baad maloom hojaawe ke wo gareeb hi he tho phir se na de zakaath ada hogayi
(20)zakaath ke dene me aur zakaath ke siwa aur sadqa khairaath me sab se zyada apne rishta naatha ke logon ka khiyaal rakho ke pehle inhi logon ko do lekin unse ye na batao ke ye Zakaath ya sadqa aur khairaath ki cheez he ta ke wo bura na maane hadees Shareef me aaya he ke quraabath walon ko khiraath dene se duhra sawaab miltha he ek tho khairaath ka dusra apne azeezon ke sath sulook o ehsaan karne ka phir jo kuch un se bache wo aur logon ko do
(21) ek shehar ki zakaath dusre shehar ko bhejna makru he haan agar dusre shehar me uske rishtedaar rehte ho unko bhej diya ya yahan waalon ke eatebaar se waha ke log zyada mohtaaj he ya wo log Deen ke kaam me lage he unko bhej diya tho makru he ke taalib ilmon aur deeendaar aalimon ko dena bada sawaab he.
No comments:
Post a Comment