(1) Ramadaan Shareef ke roze ki agar raat se niyyath karlen tho bhi farz ada hojaatha he aur agar raat ko Roza rakhne ka iraada na tha balke subah hogayi tab bhi yehi khiyal Raha ke me aajka roza na rakhungi,phir din chade khiyaal aagaya ke farz chod dena buri baat he isliye ab roze ki niyyat Karli tab bhi roza hogaya lekin agar subah ko kuch kha pee chuki ho tho ab niyyat nahi kar sakti
(2) agar khaya Piya na ho tho din ko theek dopehr se ek ghanta pehle pehle Ramadaan ki rozon ka niyyat karlena durust he
(3) ramadaan Shareef ke roze me bas itni niyyat karlena kaafi he ke aaj mera Roza he ya raat ko itna sochle ke kal Mera roza he bas itni hi niyyat se hi ramadaan ka roza Ada hojayega agr niyyat me khaas ye baat na aayi ho ke ramadaan ka Roza he ya farz roza he tab bhi roza hojyega
(4) ramadaan ki mahine me agar kisi ne ye niyyat ki ke my kal nafil ka Roz rakhungi ramadaan ka roza na rakhungi balke is roze ki phir kabhi qaza rakhungi tab bhi ramadaan hi ka Roza hua aur nafil ka nahi hua
((5) pichle Ramadaan ka roza qaza hogaya tha aur poora saal guzar gaya ab tak iski qaza nahi rakhi phir jab ramadaan ka mahina aagaya tho isi qaza ki niyyat se roza rakha tab bhi ramadaan hi ka Roza hoga aur qaza ka Roza na hoga qaza ka roza ramadaan ke baad rakhe
(6) kisi ne nazar maani thi ke agar mera fulaan kam hojaaye tho me Allah ke liye 2 roze ya 1 Roza rakhungi phir jab ramadaan ka mahina aaya tho us ne usi nazr ke roze rakhne ki niyyat ki Ramada ke roze ki niyyat nahi ki tab bhi ramadaan hi ka Roza hua nazar ka roza ada nahi hua nazar ke roze ramadaan ke baad phir rakhe sab ka khulasa ye hua ke Ramadaan ke mahine me jab kisi roze ki niyyat karegi tho Ramadaan hi ka roza hoga aur koi Roza saheeh na hoga
(7) sha'abaan ki 29 tareekh ko agar ramadaan Shareef ka Chand nikal aawe tho subah ko roza rakho aur agar na nikle ya aasmaan par abar ho aur Chand na dikhyi de tho subah ko jab tak ye shuba rahe ke ramadaan shuru hua ya nahi Roza na rakho balke sha'abaan ke 30 din poore karke ramadaan ke roze shuru karo
(8) 29 tareekh abar ki wajah se Ramadan shareef ka chaand dikhayi nahi diya tho subah ko nafil roza bhi na rakho Haan agar aisa ittefaq bada ke hamesha peer aur jumeraaat ya kisi aur muqarrar din ka roza rakha karti thi aur kal wohi din he tho nafil ki niyyat se subah ko roza rakhlena behtar he phir agr kahi se Chand ki khabar aagayi tho use nafil roze se Ramadan ka farz ada hogaya ab uski qaza na rakhe
(9) baadal ki wajah se 29 tareekh ko Ramadaan ka chaand nahi dikhayi diya tho dopeher se ek ghanta pehle Tak kuch na Khao na piyo agar kahi se khabar aajawe tho ab roze ki niyyat karlo aur agar khabar na aaye tho Khao piyo
(10) 29 tareekh chaand nahi hua tho ye khiyaal na karo ke kal ka din ramadaan ka tho he hi nahi laao mere zumma jo paarsaal ka ek roza qaza he uski qaza hi rakhlun ya koi Nazar maani thi uska roza rakhulun us din qaza ka Roza aur kaffar ka roza aur nazar ka rakhna bhi makru he koi Roza na rakhna chahiye agar qaza ya nazar ka roza rakhiye phir kahi se chaand ki khabar aagayi tho bhi Ramadaan hi ka roza ada hogaya qaza aur nazar ka roza phir se rakhe aur agar khabar nahi aayi thi jis roze ki niyyat ki thi wohi ada hogaya
No comments:
Post a Comment