(1) aasmaan se barse hue paani aur nadi naale chashme aur kunwe aur talaab aur daryaon ke pani se wazu aur gusul karna durust he chahe meetha paani ho ya khaara ho
(2)kisi ya phal ya darakht ya pathon se nichode hue araq se wazu kkarna durust nahi.isi tarah jo paani tarbuz se nikaltha he aur ganne wagaira ki ras se wazu aur gusul durust nahi he
(3) jis paani me koi aur cheez milgayi ya paani me koi cheez pakayi gayi aur aisa hogaya ke ab bolchaal me usko paani nahi kehte balke uska kuch aur naam hogaya tho us se wazu aur gusul jayez nahi jaise sharbath,sheera aur shourba,aur sirka aur gulaab aur araq gaun zubaan wagirah ke un se wazu durust nahi he
(4)jis paani me koi paak cheez pad gayi aur paani ke rang ya maze ya Bo me kuch farq aagaya lekin o cheez paani me pakaayi nahi gayi na paani ke pathle hone me kuch faraq aaya jaise behthe hue paani me kuch reth mili hothi he ya paani me zaafraan padgaya aur uska bahut khafeef sa rang aagaya ya saabun padgaya ya Isi tarah ki koi aur cheez padgayi tho un sab surathon me wazu aur gusul durust he
(5)aur agar koi cheez paani me daal kar pakayi gayi us se rang ya maza wagairah badla tho us paani se wazu durust nahi albatha agar aisi cheez pakayi gayi jis se mail kuchel khoob saaf hojaatha he aur uske pakane se paani gaada na hua ho tho us se wazu durust he jaise murda nehlane ke liye bair ki pathiyan pakathe he tho usme kuch harj nahi albatha agar itni zyada daalde ke paani gaada hogaya tho us se wazu aur gusul durust nahi
(6) agr pani me dhood milgaya tho agar doodh ka rang aachi tarah paani me aagaya tho wazu dusut nahi aur agar doodh bahut kam tha ke rang nahi aaya tho wazu durust he
(7)jangal me kahi thoda paani Mila tho jab tak iski najasath ka yaqeen na hojaaye tab tak us se wazu kare faqth is wehem par wazu na chode ke shayid ye najis ho agar iske hothe hue tayammum karegi tho tayammum na hoga
(8) kisi kunwe wagirah me darakht ke pathe gir pade aur paani me badbu aane lagi aur rang aur maza bhi badal gaya tho bhi is se wazu durust he jab tak isi tarah paani patla baaqi rahe
(9)jis pani me najsath padjaawe us se wazu gusul kuch durust nahi chahe o najasath thodi hi ya bahut ho albatha agar wo behtha hua paani ho tho wo najasath ka padne se napak nahi hotha jab tak ke uske rang ya maze aur Bo me faraq na aaye aur jab najasath ki wajah se rang ya maza badal gaya ya Bo aane lagi tho behta hua paani bhi najis hojaaye ga us se wazu durust nahi aur jo paani ghaas tin ke pathe wagaira kko baha lejaaye wo behta paani he chahe kitna hi aahista aahista behta ho
(10) bada bhari house jo 10 hath lamba aur 10 hath jouda ho aur itna gehra ho ke agar chullu se paani uthawe tho zameen na khule.ye bhi behte hue pani se misl he aise houz ko dah Darda kehte he agr usme aisi najasath padjaaye jo padjaane ke bad dikhlaayi nahi dethi jaise peshaab,khoon,sharab wagaira tho Charon taraf wazu Karna durust he jishar chaahe wazu kare aur agar aisi najasath padjaawe Jo dikhlaayi dethi he jaise murda kuutha tho jidhar pada ho ustaraf wazu na kare uske siwa aur jis taraf chaahe kare albatha aagar itne bade houz me itni najasath padjaawe ke rang ya maza badal jawe ya badbu aane lge tho bakhsh hojaawega
(11)agar 20 haath llamba aur5 hath chouda ya 25 hath lamba aur 4 hath chouda ho wo houz bhi dah Darda ke misl he
(12)chat par najasath padi he aur paani barsa aur par naala chala tho agar aadhi ya aadhi se zyada chath napaak he tho wo paani najis he aur agar chath aadhi se kam napaak he he tho wo paani paak he aur agar najasath par naale ke paas hi ho aur itni ho ke sab paani us se milkar aathe tho o paani nahi he
(13)agar paani aahista aahista behtha ho tho bahut jaldi jaldi wazu na kare ta ke jo dhown girth he wohi hath me na aajaye
(14)dah dardah houz me jahan pr dhowan gira he agar wahi se pani uthaliye tho bhi jayez he
(15)agr koi kaafir ya ladka bacha apna hath paani me daalde tho paani najis nahi hotha albaatha agar malum hojawe ke uske hath me najasath lagi thi tho napaak hojaawega lekin cchunke chote bachon ka kuch eatbaar nahi isliye jab tak koi aur paani mile uske haath daale hue paani se wazu Karna behtar he
(16)jis paani me aisi jandaar cheez marjaave jiske behta hua khoon nahi hotha ya bahar mar kar paani me gir pade tho paani najis nahi hotha jaise machar ,makhi,bhid thithya,bichu,shehad ki makhi ya isi qisam ki aur jo cheez ho
(17)jis ki paidaish paani ki ho aur har dam paani hi me Raha karti ho uske marjaane se paani kharab nahi hotha paak rehta he jaise machli,mendak,kechuwa,kekda. Wagairh aur agar pani ke siw kisi cheez me marjaaye jaise sirka,sheer,doodh wagaira tho wo bhi napaak nahi hotha aur khushki k menndak ur pani ka mendak donon ka ek hi hukm he yaani na iske marne se paani najis hotha he na uske Marne se lekin gar khushki ke kisi mendak me khoon hotha ho uske Marne se paani wagirah jo cheez ho napaak hojaawega
Faida : dariyayi mendak ki pehchaan ye he ke uske ungliyon ke beech me jhalli lagi hothi he aur khushki ki mendak ki ungliya alag alag hothi he
(18)jo cheez paani me rehti ho lekin uski paidaish paani ki na ho uske marjaane se paani kharab wa najis hojaatha he jaise batakh aur margaabi iski tarah alag mar kar pani me gir pade tho bhi najis hojatha he
(19) mendak kechuwa wagirah paani me mar kar bilkul ghul jaawe aur rezah rezah ho kar pani me miljaawe tho bhi paani paak he lekin uska peena aur us se khana pakana durust nahi albatha wazu aur gusul us se karsakte he
(20)dhoop ke Jale hue paani se sufaid dag hojaane ka dar he isliye us se wazu gusul na karna chahiye
(21)murdaar ki khaal ko jb dhoop. Me sukhaadaale ya kuch dwa wgairh hai laga kar durust karlen ke pani marjaawe aur rakhne se kharab na ho tho paak hojaathi he us par namaz padna durust he aur mushk wagaira bana kar usme paani rakhana bhi durust he lekin suwar ki khaal paak nahi hothi aur sb khaalen paak hojaathi he magar aadmi ki khaal se koi kaam Lena ya baratna bahut gunah he
(22)kutha,bandar,Sher,billi wagaira Jin ki khaal banane se paak hai hojaathi he bismillaah keh kar subah karne se bhi paak hojaathi he chaahe banayi ho ya be banaayi ho albatha zubah karne se unka gosht paak nahi hotha aur unka khana durust nahi
(23)murdaar ke baal aur seeng aur hiddi aur daanth ye sb cheeze paak he agar paani me padjaawe tho najis na hoga albatha agar hiddi aur daanth wagaira par us murdaar jaanwar ki kuch chiknaayi wagaira lagi ho tho wo najis he aur paani bhi najis hojawe ga
(24)aadmi ki bhi hiddi aur baal paak he lekin unko barathna aur kaam me laana jaayez nahi balkke izzath se kisi jagah gaad Dena chahiye.
No comments:
Post a Comment