Saturday, 13 April 2024

kufr aur shirk ke baathon ka bayan

 kufr ko pasand karna-kufr ki baaton ko acha jaanna-kisi dusre se kufr ki koi baat karna -kisi wajah se apne imaan par pashemaan karna ke agar musalmaan na hothe to falaani kaam hasil hojaathi aulaad wagaira kisi ke marjaane par ranj me is qisam ke baate kehna ke khuda ko bas isi ka maarna tha duniya bhar me maarne ke liye bas yehi tha -khuda ko aisa na karna chahiye tha -aisa zulm koi nahi kartha jaise tu ne kiya-khuda aur rasool ke kisi hukm ko bura samajhna usme aib nikaalna kisi nabi ya farishte ki hiqaarath karna-unko abi lagana kisi buzrug ya peer ke sath ye aqeeeda rakhna hamari sab haal ki usko har waqth khabar rehti he-bakhooi pandith ya jis par jin chada ho us se gaib ki khabre puchna ya faal khulwaana ya us ko sach jaanna kisi buzrug ke kalaam se faal dekh ka usko yaqeeni samajhna kisi ko door se pukaarna aur ye samjhna ke usko khabar hogi kisi ko nafa nuqsaan ka mukhtaar samajhna kisi se muraade maangna-rozi aulaad maangna-kisi ke naam ka roza rakhna-kisi ko sajda karna-kisi ke naam ka jaanwar chodna ya chadhaawa chadaana kisi ke naam ki mannath maan`na-kisi ke qabar ya makaan ki tawaaf karna-khuda ke hukm ke muqaabila me kisi dusri baat ya rasm ko muqaddam rakhna-kisi ke saamne jhukna ya tasweer ki tarah khada rehna-thop par bakra chadana  kis ke naam par jaanwar zubah karna jin bhooth pareeth wagairah ke chod dene ke liye unki bheent dena-bakra wagairah zubah karna-bache ke jeen e ke liye iske naar ka poojna kisi ki duhaayi dena kisi jagah ka kaaba ke barabar adab o tazeem karna kisi ke naam par bache ke kaan naak chedhna-baali aur bulaaq pehnana-kisi ke naam ka baazu par pesa baandna ya gale me naada daalna-sehra baandhna-faqeer banana- ali bakhsh-husen bakhsh-abdun nabi wagairah naam rakhna-kisi jaanwar par kisi buzrug ka naam laga kar uska adab karna-aalam ki kaarobaar ko sitaaron ki taaseer se samajhna-achi buri tareekh aur din ka puchna-shugoon lena- kisi maheene ya tareekh ko manhoos samajhna-kisi buzrug ke naam batour e wazifa ke chapna-yun kehna ke khuda wa rasool agar chaahe ga tho falaana kaam hojaawe ga- kisi naam ya sar ki qasam khana-jaandaar ki badi tasweer rakhna-khususan kisi buzrug ki tasweer barkath ke liye rakhna aur uski taazeem karna  

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...