Tuesday, 2 April 2024

Kunwen ka bayan

 (1) jab kunwe me koi najasth gir pade tho kunwan napaak hojaatha he aur paani kheench daalne se paak hojaatha he chahe thodi najasath gire ya bahut saara paani nikaalna chahiye jab saara paani nikaala jayega tho paak hojawega,kunwen ke andar ke kankar,deewaar wagairah ke dhone ki zarurat nahi wo sab aap hi aap paak hojawenge isi tarah rassi Dol jis se pani nikaala he kunwen ke paak hone se aap hi aap paak hojawenga un donon ki bhi dhone ki zarurat nahi

Faida : sab paani nikaalne ka ye matlab he ke itna nikaale ke paani toot jaawe aur aadha dol bhi na bhare

(2) kunwen me kabootar goriyya yaani chidiya ki beet gir padi tho najis nahi hua- aur murgi aur batakh ki beet se najis hojaatha he- aur saara paani nikaalna wajib he

(3)kutha,billi,gaai,bakri peshaab karde ya koi aur najaasath kare tho sab paani nikaala jaawe

(4))aagar aadmi ya kutha ya bakri ya usi ke barabar koi aur jaanwar gir kar marjaawe tho saara paani nikala jaawega aur agar bahar mare phir kunwen me gire tab bhi yehi hukm he ke sab paani nikaala jaawe

((5) agar koi jaandaar cheez kunwen me mejaawe aur phool jaawe ya phat jaawe tab bhi sab paani nikaala jaawe chahe chota janwar ho ya bada tho gar chuha y goriyya mar kar phool jaawe ya phat jawe tho sab paani nikalna chahiye

(6)agar chuha ya goriyya ya usi ke barabar koi cheez gir kar mar gayi lekin phooli phati nahi tho 20 dol nikaalna wajib he aur 30 dol nikaal daale tho behtar he lekin pehle chuha nikaal ke phir paani nikaalna shuru kare agar chuha na nikaala tho us paani ke nikaalne ka kuch eatbaar nahi chuha nikalne ke baad phir utna hi paani nikaalna padega

(7)badi chipkali jis me behta hua khoon hotha ho uska hukm bhi yehi he ke agar marjaawe aur phule phate nahi tho 20 dol nikaalna chahiye aur 30 dol nikaalna behtar he aur jis me behtha hua khoon na hotha ho uske marjaane se paani napak nahi hotha

(8) agar kabootar ya murgi ya billi ya usi ke barabar koi cheez gir kar marjaawe aur phule nahi tho 40 dol nikaalna wajib he aur 60 dol nikaalna behtar he

(9) jis kunwe par jo dol pada rehta he usi ke hisaab se nikaalna chahiye  aur agar itne bade dol se nikaala jis me bahut pani samatha he tho uska hisaab laglena chahiye agar us me 2 dol paani samatha he tho 2 dol samjhe aur agar 4 dol samatha he tho 4 dol samjhna chahiye khulasa ye he ke jo dol paani aatha hoga usi ke hisaab se kheencha jaawe

(10) agar kunwe me itna bada soth he ke sab paani nahi nikalsakta jaise jaise paani nikaalthe he waise waise usme paani nikaltha he tho jitna paani usme uswaqth moujood he andaza karke usqadar nikaal daale

Faida : paani ke andaza karne ki kayi surathe he ek ye ke 5 hath paani he tho ek dam lagataar 100 dol paani nikal kar dekho ke kitna paani kam hua agar ek hath Kam hua tho bas usi se hisaab laga lo ke 100 dol me ek hath paani toota tho 5 hath yaani 500 dol me nikal jayega dusri ye he ke Jin logon ko paani ki pehchaan ho aur uska andaz aatha ho aise 2 deendar musalmanon se andaz karalo jitna wo kahe nikalwa do aur jahan ye donon baathe mushkil maloom ho tho 300 dol nikalwa do

(11) kunwen me mara hua chuha ya aur koi  janwar nikla aur ye malum nhi hua ke kb se gira he aur wo bhi phula phata bhi nahi he tho Jin logon ne is kunwen se wazu kiya he ek din raat ke namaze dohra de aur us pani se jo kapde dhoye he phir unko dhona chahiye aur agar phool gaya he ya phat gaya he tho 3 din 3 raat ki namaze dohrana chahiye albatha Jin logon se us paani se wazu nahi kiya wo na dohraawe ye bat tho ehtiyaat ki he aur baaz alimon ne ye kha he ke jis waqt kunwe ka napaak hona maloom hua he usi waqth se napaak smjhenge us se pehle ki namaz wazu sab durust he agar koi us par amal kre tab bhi durust he

(12)jis ko nahane ki zarurat he wo dol dhoondne ke waaste kunwe me uthra aur uske badan aur kapde par aaludgi najasath nahi he tho kunwa na paak na hoga aise hi agar kaafir utre aur uske badan aur kapde par najasath na ho tab bhi kunwa paak he albatha agar najasath lagi ho tho napaak hojaawega aur sb pani nikalna padega aur agar Shak ho ke maloom nahi ke kapde paak he ya napaak he tab bhi kunwan paak smjha jayega lekin agar dil ki tasalli ke liye 20 ya 30 dol nikalwa de tab bhi kuch harj nhi 

(13 ) kunwe me bakri ya chuha gir gaya aur zinda nikal aaya tho paani paak he kuch na nikaala jaye

(14) chuhe ko billi ne pakda aur uske danth lagne se zakhmi hogaya phir us se choot kar usi tarah khoon me bhara hua kunwe me gir pada tho saara paani nikaala jaawe

(15) chuha na badaan me se nikal kar bhaaga aur us se badan me najasath bhar gayi phir kunwen me gir pada tho sab paani nikaala jawe chaahe chuha kunwe me marjaawe ya zinda ho

(16)chuhe ki dum kat kar gir padi tho saara paani nikaala jaawe usi tarah wo chipkali jis me behtha hua khoon hotha ho uski dum girne se bhi saara paani nikaala jaawe

(17) jis cheez ke girne se kunwa na Paak hua he agar wo cheez bawajood koshish ke na nikalsake tho dekhna chahiye ke o cheez kaisi he agar wo cheez aisi he ke khud tho paak hothi he lekin napaak lagne se napaak hogayi he jaise napaak kapda,napaak gendh, Napaak jootha tab tho uska nikaalna muaaf he waise hi paani nikaal daale aur gar wo cheez aisi he ke khud napaak he jaise murda janwar chuha wagaira tho jab tak ye yaqeeen na hojaaye ke gal sad kar mitti hogaya he us waqth tak kunwan paak nahi hosakta aur jab ye yaqeen hojaaye uswaqth Sara paani nikaalde kunwan Paak hojwega 

(18) jitna paani kunwe me se nikaalna zaroor ho Chahe ek dam se nikaale chahe thoda thoda karke kayi dafa nikaale har tarah paak hojayega 


1 comment:

  1. Agar kissi ko kisi bhi masle ke mutalluq sawal ho tho puch sakte he hum jawab dene ki bharpoor koshish karenge in sha Allah

    ReplyDelete

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...