Allah ta ala ke nazdeek namaz ka bahut bada rutba he koi ibadath Allah ta ala ke nazdeek namaz SE bhi zyada pyaari nahi he allah ta ala ne apne bandon pr 5 waqth ki namaze Faraz kardi he unke padne ka bada sawab he aur unke chod Dene se bada gunah hotha he ,hadees Shareef me aaya he ke jo koi achi tarah se wazu Kiya kare aur khoob dil lga kar achi tarah namaz pada kare qiyamath ke din Allah ta ala uske chote chote gunah sab bakhsh dega aur jannath dega ur Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya he ke namaz Deen ka suthoon he so jis ne namaz ko achi tarah pada usne Deen ko theek rakha aur jis ne us suthoon ko gira diya ( yaani namaz na padi) us ne Deen barbaad kar diya aur aan hazrat sallallahu alaihi wasallam ne farmaya he ke qiyamath me sb se pehle namaz hi ki puch hogi aur namaziyon ke hath aur paon aur muh qiyamath me aaftaab ki tarah chamakte honge aur benamazi us doulath se mehroom rahenge aur hazrath ne farmaya he ke namaziyon ka hashar qiyamath ke din nabiyon aur shaheedon aur waliyon ke sath hoga.aur benamaziyon ka hashar firoun aur haamaan aur qaroon in bade bade kaafiron ke sath hoga isiliye namaz padna bahut zaroori he aur na padne se Deen aur duniya ka bahut nuqsaan hotha he .us se badh kr aur kya hoga k benamazi ka hashar firoun ke sath kiya gaya.benamazi kafiron ke barabar samjha gya.khuda ki panah namaz na padna kitni buri baat he.albatha un logon par namaz wajib nahi .majnoon aur choti ladki aur ladka Jo abhi jawan na hue ho baaqi sab musalmano par farz he lekin aulaad jab 7 baras ki hojawe tho maa baap ko hukm he ke unse namaz padwawe aur jb 10 baras ke hojawe tho maar kar padwawe aur namaz ka chodna kabhi kisi waqth durust nahi he jistarah hosake namaz zaroor pade albatha agar namaz padna bhool gayi bilkul yaad na raha jb waqth jaatha raha tab yaad aaya ke me ne namaz nai padi ya aisi gaafil sogyai ke aankh na khuli aur namaz qaza hogayi tho aise waqth gunah na hoga lekin jab yaad aawe aur aankh khule tho wazu karke fouran qaza pad Lena farz he albatha agar wo waqth makru ho tho zara teherjaawe ta ke makru waqth nikaljaawe isi tarah jo namaze behoshi ki wajah se nahi pade usme bhi gunah nahi lekin jab hosh Aane ke baad fouran qaza padni padegi
(1) kisi ke ladka paida ho raha he lekin abhi sab nahi nikla kuch baaher nikla he aur kuch nahi nikla aise waqth bhi agar hosh o hawaas baqi ho namaz padna farz he qaza kardena durust nahi albatha agr namaz padne se bache ki jaan ka khouff ho tho namaz qaza kardena durust he isi tarah daayi janayi ko ye khouff ho ke agar me namaz padne lagungi tho bacha ko sadma pahunchega tho aisi waqth daayi ko bhi namaz ka qazavkardena durust he lekin un sab ki phir jaldi qaza padlena chahiye
👍very informative
ReplyDelete