Friday, 19 April 2024

Namaz ke 6 faraiz aur 14 waajibaath he

NAMAZ ME 6 AISE FARAIZ HE JIN KE BAGAIR NAMAZ NAHI HOTHI 

(1)takbeer e tehreema kehna yaani Allah hu akbar kehna 

(2) qiyaam karna yaani khade hona 

(3) qiraat karna yaani Qura'an e majeed ka padna 

(4) ruku karna 

(5) dono sajde karna

(6)  qayida aakhira yaani namaz ke aakhir me athahiyyath padne ke baqadar baitna 

NOTE  : takbeer e tehreema sharth he rukun nahi he magar chunke namaz se bilkul mili hui he is liye faraiz me likhi gayi 

 WAAJIBAATH E NAMAZ👇

WO BAATHE JIN KA ADAA KARNA BAHUT ZAROORI HE AUR AGAR BHOOLE SE CHOOTE JAAYE THO SAJDA SAHW SE NAMAZ HOJAATHI HE 

 WAAJIBAATH E NAMAZ 14 HE WO YE HE👇

(1)faraz namazon ki pehli 2 rakaathon ko qiraath ke liye muqarrar karna 

(2) faraz namazon ki teesri aur chouthi rakaath ke alawa tamaam namazon ki har rakaath me surah faathiha padna

(3)faraz namaz ki pehi 2 rakaathon me aur waajib aur sunnath aur nafil namazon ki tamaam rakaathon me surah faathiha ke baad koi surah ya badi ek aayath ya choti 3 aayathe padna 

(4)surah faathiha ko surah se pehle padna 

(5)qiraath aur ruku me aur sajdon aur rakaathon me tarteeb qaayim rakhna 

(6)qouma karna yaani ruku se uth kar seedhe khade hona 

(7)jalsa yaani donon sajdon ke darmiyaan me seedha bait jaana 

(8)taadile arkaan yaani ruku sajda wagairah ko itminaan se ada karna 

(9)tadeele oola yaani 3 ya 4 rakaath waali namaz me 2 rakaathon ke baad tashahhud ke miqdaar baitna 

(10)donon qaayidon me tashahhud padna 

(11)imaan ko namaz e fajar,magrib,isha,jumaa,eidain,taraweeh aur ramadaan shareef ke witarin me aawaaz se qiraath karna aur zuhar asar wagairah namzon me aahista padna 

(12)lafz e salaam ke sath namaz se alahida hona

(13)namaz e witar me qunooth ke liye takbeer kehna aur dua e qunooth padna 

(14)donon eidain ki namaz me zaayid takbeere kehna


        WALLAHU TA'ALA AALAMU BISSAWAAB....





 

1 comment:

  1. Mashallah very very happy all answer s milgai namaaz ke zazakallah moulana 💝❤️

    ReplyDelete

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...