Tuesday, 9 April 2024

namaz ke waqthon ka bayan

 (1) pichli raat ko subah hothe waqth poorab ki taraf yaani jidhar se suraj nikaltha he aasmaan ke lambaan par safedi dikhayi dethi ho phir thodi der me aasmaan ki kinaare par jodaan me safedi maloom hothi ho aur aanan faanan badthi jaathi ho aur thodi der me bilkul ujaala hojaatha he tho jab se ye choudi safedi dikhayi de tab se fajar ki namaaz ka waqth hojaatha he aur aaftaab nikalne tak baaqi rehta he jab aaftaab ka zara sa kinaara nikal aata he tho fajar ka waqth khatam hojaatha he lekin awwal hi waqth bahut tad ke namaz padlena behtar he 

(2) dopehar dhal jaane se zuhar ka waqth shuru hotha he aur dopehr dhal jaane ki nishaani ye he ke lambi cheezon ka saaya pachim se shimaal ki taraf sarakta sarakta bilkul shimaal ki seedh me aakar poorab ki taraf mudne lage bas samjho ke dopehar ki waqth gayi aur poorab ki taraf muh karke khade hone se baaye haath ki taraf ka naam shimaal he aur ek pechaan us se bhi aasaan he wo ye ke suraj nikal kar jitna ooncha hojaatha he har cheez ka saaya ghat'tha jaatha he pas jab ghatna mouqoof hojaaye uswaqth theek dopehar ka waqth he phir jab saaya badna shuru hojaaye tho samjho ke din dhal gaya bas usi waqth se zuhar ka waqth shuru hotha he-aur jitna saaya theek dopehar ke waqth hotha he usko chod kar jab tak har cheez ka saaya dona na hojawe us waqth tak zuhar ka waqth rehta he maslan ek haath lakdi ka saaya theek dopehar ko 4 angul tha tho jab tak 2 hath aur 4 angul na hojaatha tab zuhar ka waqth he aur jab 2 hath aur 4 angul hogaya tho asar ka waqth aagaya aur asar ka waqth sooraj doobne tak baaqi rehta he lekin jab suraj ka rang badal jaaye aur dhoop zard pad jaaye uswaqth asar ki namaz padna makru he agar kisi wajah se itni der hogayi tho khair padlewe qaza na kare-lekin phir kabhi itni der na kare aur us asar ke siwa aur  koi namaz  aise waqth padna durust nahi he na qaza na nafil kuch na pade 

(3) jab suraj doob gaya tho magrib ka waqth aagya phir jab tak pachim ki taraf aasmaan ki kinaare par surkhi baaqi rahe tab tak magrib ka waqth rehta he lekin magrib ki namaz me itni der na kare ke taare khoob chatak jaaye ke itni der karna makru  he phir wo surkhi jaathi rahi tho isha ka waqth shuru hogaya aur subah hone tak baaqi rehta he lekin aadhi raat ke baad isha ka waqth makru hojaatha he aur sawaab kam miltha he isliye itni der karke namaz na pade aur  behtar ye he ke tanhaayi raath jaane se pehle pehle padlewe

(4) garmi ke mosam me zuhar ki namaz me jaldi na kare garmi ki tezi jaatha rahe tab padna mustahab he aur jaadon me awwal waqth padlena mustahab he 

(5)aur asar ki namaz zara itni der karke padna behtar he ke waqth aane ke baad agr kuch nafile padna chaahe tho padsake kyunke asar ke bad tho nafile padna durust nahi chaahe garmi ka mosam ho ya jaade ka donon ka ek hukum he lekin itni deri na kare ke suraj me zardi aajaaye aur dhoop ka rang badal jaawe aur magrib ki namaz me jaldi karna aur sooraj doobthe hi padlena mustahab he 

(6) jo koi tahajjud ki namaz pichli raat ko pada karti ho tho agar pakka bharosa ho ke aankh zaroor khule gi tho usko witar ki namaz tahajjud ke baad padna behtar he lekin agar aankh khulne ka eatebaar na ho aur sojaane ka dar ho tho isha ke baad sone se pehle hi padlena chahiye 

(7) badli ke din fajar aur zuhar aur magrib ki namaz zara der karke padna bahtar he aur asar ki namaz me jaldi karna mustahab he 

(8) suraj nikalthe waqth aur theek dopehar ko aur suraj doobthe waqth koi namaz saheeh nahi he albatha asar ki namz agar abhi na padi ho tho wo suraj doobthe waqth bhi padlen aur un teenon waqth sajda e tilaawath bhi makru aur mana he 

(9)fajar ki namaz padlene ke baad jab atk suraj nikal ke ooncha na hojaaye nafil namaz padna makru he albatha suraj nikalne se pehle qaza namaz padna durust he aur sajdah e tilaawath bhi durusth he aur jab suraj nikal aaya tho jab tak zara roshni na aajaye qaza namaz bhi durust nahi aise hi asar ki namaz padlene ke baad nafil namaz padna jayez nahi albatha qaza aur sajde ki aayath ka sajda durust he lekin jab dhoop pheeki padjaawe tho ye bhi durust nahi

(10) fajar ke waqth suraj nikal aane ke dar se jaldi ke maare faqth faraz padliye tho ab jab tak suraj aur roshan na hojaaye tab tak sunnath na pade jab zara roshni aajye tab sunnath wagairah jo namaz chaahe pade 

(11) jab subah hojaaye aur fajar ka waqth aajaaye tho 2 rakaath sunnath aur 2 rakaath farz ke siwa aur koi nafil namaz padna durust nahi yaani makru he albatha qaza namaze padna aur sajda ki aayth par sajda karna durust he 

(12)agar fajar ki namaz padne me suraj nikal aaya tho namaz nahi hui suraj me roshni aajane ke baad qaza pade aur agar asar ki namaz padne me suraj doob gaya tho  namaz hogayi qaza na pade 

(13) isha ki namaz padne se pehle so rehna makru he namaz padke sona chahiye lekin koi marz se ya safar  se bahut thaka maanda ho aur kisi se kehde ke muje namaz ke waqth jaga dena aur wo dusra waada karle tho so rehna durust he 

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...