Sunday, 14 April 2024

namaz ko thod dene waali cheezon ka bayan

 (1) qasdan ya bhoole se namaz me bol uthi tho namaz jaathi rahi

(2) namaz me aah ya ooh ya uff ya haai kahe ya zor se roye tho namaz jaathi rehti he albatha agar jannath aur dozakh ko yaad karne se dil bhar aaya ya zor se aawaaz ya aah ya uff wagairah bhi nikal jaawe tho namaz nahi tooti

(3)bezarurath khakaarne aur gala saaf kaarne se jis se ek aadh hurf bhi paida hojaawe namaz toot jaathi he albatha laachaari aur majboori ke waqth khakaarna durust he aur namaz nahi jaathi

(4)namaz me cheenk aayi us par alhamdulillah kaha tho namaz nahi gayi lekin na kehna chahiye-aur agar kisi aur ko cheenk aayi aur usne namaz hi me usne ya rahmakallah kaha tho namaz jaathi rahi

(5)quraan shareef me dekh dekh kar padne se namaz nahi hothi

(6)namaz me itni mud gayi ke seena qibla ki taraf mud gaya tho namaz toot gayi

(7)kisi ke salaam ka jawab diya aur walaikumussalam kaha tho namaz jaathi rahi

(8) namaz ke andar jooda baandha tho namaz jaathi rahi

(9)namaz me koi cheez khali ya pee liya tho namaz jaathi rahi,yaha tak ke agar ek til ya duhra utha kar kha lewe tho bhi namaz toot jaawegi albatha agar duhra wagaira koi cheez daanthon me atki hui thi usko nigal gayi tho agar chane se kam ho tab tho namaz hogayi aur agar chane ke barabar ya zyada ho tho namaz toot gayi 

(10)muh me paan daba hua he aur uski peek halaq me jaathi he tho namaz nahi hui 

(11)koi meehti cheez khayi-phir kulli karke namaz padne lagi lekin muh me uska mazah kuch baaqi he aur thook ke sath halaq me jaatha he tho namaz saheeh he 

(12)namaz me kuch khushkhabri suni aur uspar alhamdulillah keh diya ya kisi ki mouth ki khabar suni uspar inna lillahi wainna ilaihi rajioon pada tho namaz jaathi rahi 

(13)koi ladka wagairah gir pada uske girthe waqth bismillah kehdiya tho namaz jaathi rahi 

(14) namaz me bacha ne aakar doodh piliya tho namaz jaathi rahi albatha agar doodh nahi nikla tho namaz nahi agyi 

(15) allahu akbar kehte waqth allah ke alif ko bada diya aur aalallhu akbar kaha tho namaz jaathi rahi isi tarah agar akbar ki baa ko badaa kar pada aur allahu akbaar kaha tho bhi namaz jaathi rahi 

(16) kisi khath ya kisi kitaab par nazar padi aur usko apni zubaan se nahi pada lekin  dil hi dil me matlab samajh gayi tho namaz nahi tooti albatha agar zubaan se padlewe tho namaz jaathi rahegi

(17) namazi ke saamne se agar koi chala jaaawe ya kutha,billi, bakri wagairah koi jaanwar nikal jaawe tho namaz nahi tooti lekin saamne se jaane waale aadmi ko bada gunah hoga isliye aisi jagah namaz padna chahiye jaha aage se koi na nikle aur phirne chalne me logon ko takleef na ho aur aisi alag jagah koi na ho tho apne saamne koi lakdi gaad lewe jo kam se kam ek haath lambi aur ek angul moti ho aur us lakdi ke paas ko khadi ho aur isko bilkul naak ke saamne na rakhe balke daahni ya baaye aankh ke saamne rakhe agar koi lakdi na gade tho itni hi unchi koi aur cheez saamne rakhlewe jaise mondha tho ab saamne se jaana durust he kuch gunah na hoga 

(18)kisi zarurat ki  wajah se agar qibla ki taraf ek aadh qadam aage badgayi ya peeche hat aayi lekin seena qibla ki taraf se nahi phera tho namaz durust hogayi lekin agar sajde ki jagah se aage badjaawegi tho namaz na hui.


                                       wallahu ta`ala aalamu bissawaab.... 

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...