(1) jis ki koi namaz choot gayi ho tho jab yaad aawe foran uski qaza kare bila kisi uzar ke qaza padne me der lagana gunah he so jis ki koi namaz qaza hogayi aur usne fouran uski qaza na padi dusre waqth par ya dusre din par daaldi ke fulaane din padlungi aur us din se pehle hi achaanak mouth se margayi tho duhra gunah hua ek tho namaz ki qaza hojaane ka aur dusre fouran qaza na padne ka
(2) agar kisi ki kayi namaze qaza hogayi tho jaha tak hosake jaldi se sab ki qaza padlewe hosake tho himmath karke ek hi waqth sab ki qaza padle ye zaroori nahi ke zuhar ki qaza zuhar ki waqth pade aur asar ki qaza asar ki waqth aur agar bahut si namaze kayi mahine ya kayi barason ki qaza ho tho unki qaza me bhi jaha tak hosake jaldi kare ek ek waqth do do chaar chaar namaze qaza padliya kare agar koi majboori aur naachaari ho tho khair ek waqth ek hi namaz ki qaza saheeh ye bahut kam darje ki baat he
(3)qaza padne ka koi waqth muqarrar nahi he jis waqth fursath ho wazu karke padle albatha itna khiyaal rakhe ke makru waqth na ho
(4)jis ki ek hi namaz qaza hui is se pehle uski koi namaz qaza nahi hui ya us se pehle namaze qaza tho hue lekin sab ki qaza padchuki he faqth isi ek namaz ki qaza padni baaqi he tho pehle uski qaza padlewe tab koi ada namaaz pade agar bagair qaza namaz pade hue aur namaz padi tho adaa durusth nahi hui qaza padke phir ada pade-haan agar qaza padni yaad na rahi bilkul bhool gayi tho adaa durusth hogyi jab yaad aawe tho faqth qaza padlewe-adaa ko na dohraawe
(5)agar waqth bahut tang he ke pehle qaza padegi tho adaa namaz ka waqth baaqi na rahe ga tho pehle adaa padle phir qaza padle
(6) agar 2 ya 3 ya 4ya 5 namazen qaaza hogaye aur siwaaye un namazon ke uske zimme kisi aur namaz ki qaza baaqi nahi he yaani umar bhar me jab se jawaan hui he kabhi koi namaz qaza nahi hui ya qaza tho hogayi lekin sab ki qaza padchuki he tho jab tak in paanchon ki qaza na padlewe tab tak adaa namaz padna durust nahi he-aur jab in paanchon ki qaza pade tho is tarah pade ke jo namaz sab se awaal choooti he pehle uski qaza pade phir uske baad waali phir uske baad waali-is tarah tarteeb se paanchon namazen qaza pade jaise kisi ne poore ek din ki namazen nahi padi fajar,zuhar,asar,magrib,isha ye paancho namaze choot gaye tho pehle fajar phir zuhar phir asar phir magrib aur phir isha isi tarteeb se qaza pade agar pehle fajar ki qaza nahi padi balke pehle zuhar ki padi ya asar ki ya aur koi tho durust nahi hui phir se padna padegi
(7)agar kisi ke 6 namazen qaza hogaye tho ab be unki qaza pade hue bhi adaa namaz padni jayez he aur jab un 6 namazon ki qaza pade tho jo namaz sab se pehle qaza hui he pehle uski qaza padna waajib nahi he balke jo chaahe pehle pade aur jo chaahe peeche pade sab jaayez he aur ab tarteeb se padni waajib nahi
(8) 2,4 mahine ya 2,4 baras hue ke kisi 6 namze ya zyada qaza hogaye the aur ab unki qaza nahi padi-lekin uske baad hamesha namaz padthi rahi kabi qaza nahi hone paayi-muddath ke baad ab phir ek namaz jaathi rahi tho us soorath me bhi bagair uski qaza pade hue adaa namaz padni durust he aur tarteeb waajib nahi
(9)kisi ki zimma 6 namaze ya bahut si namaze qaza the isliye tarteeb se padni us par waajib nahi thi lekin usne ek ek ya do do karke sab ki qaza padli ab kisi namaz ki padni baaqi nahi rahi tho ab phir jab ek namaz ya paanch namazen qaza hojaawe tho tarteeb se padna padega aur be un namaz ki qaza pade adaa namaz padni durust nahi albatha ab phir agar 6 namazen choot jaawe tho phir tarteeb muaaf hojaawegi aur bagair un 6 namazon ki qaza pade bhi adaa padni durust he
(10)kisi ki bahut si namazen qaza hogaye the usne thodi thodi karke sab ki qaza padli ab faqth 4,5 namazen reh gaye tho ab un 4,5 namazon ki tarteeb se padna waajib nahi he balke ikhtiyaar he jistarah ji chaahe pade aur bagair un baaqi namazon ki qaza pade hue bhi adaa padlena dururst he
(11)agar witar ki namaz qaza hogayi aur siwaaye witar ke koi aur namaz uske zimma qaza nahi tho bagair witar ki qaza pade hue fajar ki namaz padni durust nahi he agar witar ka qaza hona yaad ho phir bhi pehle qaza na pade balke fajar ki namaz padlewe tho ab qaza padke fajar ki namaz phir padni padegi
(12)faqth isha ki namaz padke so rahi-phir tahajjud ke waqth uthi phir wazu karke tahajjud aur witar ki namaz padi phir subah ko yaad aaya ke isha ki namaz bhoole se be wazu padli thi tho ab faqth isha ki qaza pade witar ki qaza na pade
(13)qaza faqth faraz namazoon aur witar ki padi jaathi he sunnathon ki qaza nahi he albatha agar fajar ki namaz qaza hojaawe tho agar dopehar se pehle pehle qaza pade tho sunnath aur faraz donon ki qaza pade aur agar dopehar ke baad qaza pade tho faqth 2 rakaath faraz ki qaza pade
(14)agar fajar ka waqth tang hogaya isliye faqth 2 rakaath faraz padliye sunnath chordi tho behtar ye he ke suraj ooncha hone ke baad sunnath ki qaza padle lekin dopehar se pehle hi pehle pade
(15)kisi be namazi ne touba ki tho jitni namazen umar bhar me qaza hui he sab ki qaza padni waajib he touba se nmazen muaaf nahi hothe albatha jo na padne se gunah hua tha wo touba se muaaf hogaya ab unki qaza na padegi tho phir gunahgaar hogi
(16)agar kisi ki kuch namazen qaza hogaye ho aur unki qaza padne ki abhi noubath nahi aayi tho marthe waqth namazon ki taraf se fidiya dene ki wasiyyath kar jaana waajib he nahi tho gunah hoga aur namaz ke fiidiya ka bayan roze ke fidiya ke sath aayega in sha allahu ta aala
wallahu ta aala aalamu bissawaab
No comments:
Post a Comment