Friday, 12 April 2024

qaza roze ka bayan

(1) jo roze kisi wajah se jaathe rahe ho ramadaan ke baad jahah tak jaldi hosake unki qaza rakh le der na kare be wajah qaza rakhne me der lagana gunah he 

(2) roze ki qaza me din taareekh muqarrar karke qaza ki niyyath karna ke fulaan tareekh ke roze ki qaza rakhti hnu ye zaroori nahi he balke jitne roze qaza ho uthni hi roze rakhlena chahiye albatha agar 2 ramdaan ke kuch kuch roze qaza hogaye isliye donon saal ke roze ki qaza rakhna he tho saal ka muqarrar karna zaroori he yaani istarah niyyat kare ke fulaan saal ke rozon ki qaza rakhti hun 

(3) qaza roze me raat se niyyath karna zaroori he agar subah hojaane ke baad niyyath ki tho qaza saheeh nahi hui balke wo roza nafil hogaya qaza ka roza phir se rakhe 

(4) kaffare ka roza ka bhi yehi hukm he ke raat se niyyath karna chahiye agar subah hone ke baad niyyath ki tho kaffara ka roza saheeh nahi hoga 

(5) jitne roze qaza hogaya he chahe sab ko ek dam se rakhlewe chahe thode thode karke rakhe dono baate durust he 

(6) agar ramadaan ke roze abhi qazaa nahi rakhe aur dusra ramadaan aagaya tho khair ab ramadaan ke adaa roze rakhe aur eid ke baad qaza rakhe lekin itni der karna buri baat he 

(7) ramadaan ke mahine me din ko behosh hogayi aur ek din se zyada behosh rahi tho behosh hone ke din ke ilawa wo jitne din behosh rahi utne dinon ki qaza rakhe jis din behosh hui us ek din ki qaza waajib nahi he kyun ke us din ka roza bewajah niyyath ke durust hogaye haan agar us din roze  se na thi ya us din halaq me koi dawa daal di gayi aur wo halaq se utar gayi tho us din ke qaza bhi waajib he 

(8) aur agar raat ko behosh hui ho tab bhi jis raat ko behosh hui us ek din ki qaza waajib nahi he baaqi jitne  din behosh rahi sab ki qaaz waajib he haan agar is raat ko subaah ka roza rakhne ki niyaat na thi ya subah ko koi dawa halaq me daali gayi tho us din ka roza bhi qaza rakhe 

(9) agar saare ramadaan  agar behosh rahe tab bhi qaza rakhna chahiye ye na samjhe ke sab roze muaff hogaye albatha agar khuboon hogaya aur poore ramadaan bhar sadan deewani rahi tho us ramadaan ki kisi roze ki qaza waajib nahi aur agar ramadaan shareef ke roze me kisi din junoon jaatha raha aur aqal tikaane hogayi tho ab se roze rakhna shuru kare aur jitne roze junoon me gaye unki qaza bhi rakhe.


                                               .....wallahu ta ala aalamu bissawaab....

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...