qubaani ka bada sawaab he rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya he ke qurbaani ke dinon me qurbaanni se zyada koi cheez allah ta'ala ko pasand nahi in dinoon me ye nek kaam sab nekiyon se bad kar he aur qubaani karthe waqth yaani zabah karthe waqth khoon ka jo qatra zameen par girtha he tho zameen tak pahunchne se pehle hi allah ta'al ke paas maqbool hojaatha he tho khoob khushi se aur khoob dil khol kar qurbaani kiya karo aur hazrath muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya he ke qurbaani ke badan par jitne baal hothe he har har baal ke badle me ek ek neki likhi jaathi he subhanallah socho tho ke is se bad kar aur kya sawaab hoga ke ye qurbaani karne se hazaaron laakhon nekiyan miljaathi he bheed ke badan par jitne baa; hothe he agr koi subah se shaam tak gine tho bhi na gin paawe pas socho tho kitnu nekiyan hui badi deendaari ki baat tho ye he ke agar kisi par qurbaani karna waajib bhi na ho tab bhi itni behisaab sawaab ke laalach se qurbaani kardena chahiye ke jab ye din chale jaayenge tho ye doulath kaha naseeb hogi aur itni aasaani se itni nekiyan kais kama sakegi aur agar allah ne maaldaar aur ameer banaya ho tho munasib he ke jaha apni taraf se qurbaani kare jo rishtedar margaye he jaise maa baap wagairah unki taraf se bhi qurbaani kar de ke unki rooh ko itna bada sawaab pahunch jaawe hazrath muhammad sallallahu alaihi wasaalam ki taraf se aap ki bibiyon ki taraf se apne peer wagairah ki taraf se karde aur nahi tho kam se kam itna thi zaroor kare ke apne taraf se qurbaani kare kyun ke maaldaar par tho waajib he jis ke paas maal o doulath sab kuch moujood he aur qurbaani karna uspar waajib he phir bhi usne qurbaani na ki tho us se badh kar badnaseebi aur mahroom kon hoga aur gunah raha so alag jab qubaani ka jaanwar qibla lita de tho ye dua pade (INNI WAJJAHTHU WAJHIYA LILLAZI FATARAS'SAMAAWAATHI WAL ARZA HANEEFAUN WAMAA ANA MINAL MUSHRIKEEN INNA SALAATHI WANUSUKI WAMAHYAAYA WAMAMAATHI LILLAHI RABBIL AALAMEEN LASHAREEKALAH WABIZAALIKA UMIRTHU WA ANA MINAL MUSLIMEEN ALLAHUMMA MINKA WALAKA ) PHIR BISMILLAHI ALLAHU AKBAR KEH KAR YE DUA PADE ALLAHUMMA TAQABBALHU MINNI KAMAA TAQABBALTHA MIN HABEEBIKA MUHAMMADIW WA KHALEELIKA IBRAAHEEMA ALAIHIIMAS SALATHU WAS SALAM..
WALLAHU TA'ALA AALAMU BIS'SAWAAB...
No comments:
Post a Comment