Thursday, 25 April 2024

qurbaani ke masaayil

 (1) jis par sadqa,fitr waajib he us par bakar eid ke dinon me qurbaani karna bhi waajib he aur itna maal na ho jitne ke hone se sadqa fitr waajib hotha he tho us par qurbaani waajib nahi he lekin phir bhi agar kardewe tho bahut sawaab paawega

(2) musaafir par qurbaani waajib nahi

(3) bakar eid ke daswe taareekh se lekar baarwen tareekh ki shaam tak qurbaani karne ka waqth he chahe jis din qurbaani kare Lekin qurbaani karne ka sab se behtareen din bakar eid ka din he phir gyahrawe taareekh phir baarhwe tareekh

(4) bakar eid ki namaz hone se pehle qurbaani karna durust nahi he jab log namaz pad chuke tab kare albatha agar koi kisi deehaath me aur gaaon me rehti ho tho waha thuloo e subah saadiq ke baad bhi qurbaani kardena durust he shehar ke aur qasba ke rehne waale namaz ke baad kare 

(5) agar koi shehar ki rehne waali apni qurbaani ka jaanwar kisi gaau me bhej dewe tho uski qurbaani bakar eid ki namaz se pehle bhi durust he agarche khud wo shehar hi me moujood he lekin jab qurbaani deehaath me bhej di tho namaz se pehle qurbaani karna durust hogaya zubah hojaane ke baad usko mangwaale aur gosht khawe

(6) baarhwe taareekh suraj doobne se pehle pehle qurbaani karna durust he,jab sooraj doob gaya tho ab qurbaani karna durust nahi 

(7) taswe se baarhwe tak jab jee chahe qurbaani kare chaahe din me chahe raat me lekin raat ko zubah karna behtar nahi ke shayed koi rag na kate aur qurbaani durust na ho 

(8) daswe, gyahrawe,baarhwe taareekh safar me thi phir baarhwe tareekh suraj doobne se pehle gahr pahunch gayi ya 15 din kahi teharne ki niyyath karli tho ab qubaani karna waajib hogaya isi tarah agar pehle itna maal na tha isliye qurbaani waajib na thi phir baarhwe taareekh sooraj doobne se pehle kahi se maal migaya thoo qurbaani karna waajib he

(9) apni qurbaani ko apne haath se zubah karna behtar he agar khud zubah karna na jaanthi ho tho kisi aur se zubah karwaale aur zubah ke waqth waha jaanwar ke saamne khadi hojaana behtar he aur agar aisi jagah he ke parde ki wajah se khade nahi hosakthi tho bhi kuch harj nahi 

(10) qurbaani karthe waqth zubaan se niyyath padna aur dua padna zaroori nahi he agar dil me khiyaa karliya ke me qurbaani karti hun aur zubaan se kuch nahi pada faqth BISMILLAHI ALLAHU AKBAR keh ke zubah kardiya tho durust hogayi lekin agar yaad ho tho o dua padlena behtar he jo qurbaani ki bayan me zikr hui he

(11) qurbaani faqth apni taraf se karna waajib he aulaad ki taraf se waajib nahi balke agar na baalig aulaad maaldar bhi ho tab bhi us ki taraf se karna waajib nahi na apne maal me se na uske maal me se agar kisi ne uski taraf se qurbaani kardi tho nafil hoga lekin apni hi maal me se kare uske maal me se hargiz na kare 

(12)bakri,bakra,bhed,dumba,gai,bail,bhains,bhainsa,oont,oontni  itne jaanwaron ki qurbaani durust he aur kisi jaanwar ki qurbaani durust nahi

(13) gaai ,bhais,oont me agar 7 aadmi shareek ho kar qurbaani kare tho bhi durust he lekin shart ye he kekisi ka hissa 7we hisse se kam na ho aur sab ki niyyath qurbaani karne ki ya aqeeqa ki ho sirf gosht khaane ki  niyyath na ho agar kisi ka hissa 7we hisse kam hoga tho kisi ki qurbaani durust na hoga na uski jis ka poora hissa ho na uski jiska 7we se kam ho 

(14) agar gaai me 7 aadmiyon se kam log shareek hue jaise 5 aadmi shareek hue ya 6 aadmi shareek hue aur kisi ka hissa 7we hisse se kam nahi tab bhi sab ki qurbaani durust he aur agar 8 aadmi shareek hogaye tho kisi ki qurbaani saheeh nahi hogi 

(15) qurbaani ke liye kisi ne gaai khareedi aur khareedthe waqth ye niyyath ki ke agar koi aur milgaya tho usko bhi gaai me shareek karlenge aur saath me qurbaani karenge uske baad kuch aur log is gaai me shareek hogaye tho ye durust he aur agar khareedthe waqth uski niyyath shareek karne ki na thi balke poori gaai apni taraf se qurbaani karne ka iraada tha tho ab isme kisi aur ka shareek hona behtar tho nahi he lekin agar kisi ko shareek karliya tho dekhna chahiye jis ne shareek kiya he wo ameer he ke uspar qurbaani waajib he ya gareeb he jis par qurbaani waajib nahi agar ameer he tho durust he aur agar gareeb he tho durust nahi 

(16) agar qurbaani ka jaanwar kahi gum hogaya isliye dusra khareeda phir wo pehla bhi milgaya agar ameer aadmi ko aisa ittefaaq hua tho ek hi jaanwar ki qurbaani uspar waajib he aur agar gareeb aadmi ko aisa ittefaaq hua tho donon jaanwaron ki qurbaani us par waajib hogi 

(17) 7 aadmi gaai me shareek hue tho gosht baant'the waqth atkal se na baante balke khoob theek theek thol kar baante nahi tho agar koi hissa zyada kam rahega tho sood hojaawega aur gunah hoga albatha agar gosht ke sath kalla,paaye aur khaal ko bhi shareek karliya tho jis taraf kalla,paaye ya khaal ho us taraf agar gosht kam ho tho durust he chaahe jitna kam ho jis taraf gosht zyada tha us taraf kalla, paaye shareek kiye tho bhi sood hoga aur gunah hua 

(18) bakri saal bhar se kam ki durust nahi jab poore saal bhar ki ho tab qurbaani durust he aur gaai ,bhains 2 baras se kam ki durust nahi poore 2  baras ke hochuke tab qurbaani durust he aur oont 5 baras se kam ka durust nahi aur dumba aur bhed agar itna mota taaza ho ke saal bhar ka maaloom hotha ho aur saal bhar waale bhed dumbe me agar chod do tho kuch faraq na maloom hotha ho tho aise waqth  6 mahine ke dumba aur bhed ke bhi qurbaani durust he aur agar ais ana ho tho saal bhar ka hona chahiye 

(19) jo jaanwar andha ho ya kaan aho ek aankh ki taahi roshni ya is se zyada jaathi rahi ho ya ek kaan thihaayi ya thihaayi se zyada kat gaya ya tihaani dum ya tihayi se zyada kat gayi tho us jaanwar ki qurbaani durust nahi

(20) jo jaanwar itna langda he ke faqth 3 paaon se chaltha he choutha paau rakha hi nahi jaatha ya choutha paaun rakhta tho he lekin is se chal nahi saktha iski bhi qurbaani durust nahi aur agar chalthe waqth o paau zameen par tek kar chaltha he aur chalne me us se sahara lagtha he lekin langda karke chaltha he tho is ki qurbaani durust he

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...