Friday, 26 April 2024

qurbaani ke mazeed masaayil

 (21)itna dubla bilkul mareel janwar jis ke hidiyon me bilkul goda na raha ho uski qurbaani durust nahi he aur agar itna dublana ho tho duble hone se kuch harj nahi uski qurbaani durust he lekin mote taaze jaanwar ki qurbaani karna zyada behtar he 

(22) jis jaanwar ke bilkul daanth na ho uski qurbaani durust nahi aur agar kuch daanth gir gaye lekin jitne gire he unse zyada baaqi he tho uski qurbaani durust he 

(23) jis jaanwar ke paidayish hi se kaan nahi he uski  bhi qurbaani durust nahi he aur agar kaan tho he lekin bilkul zara zara se chte chote he tho uski qurbaani durust he 

(24) jis jaanwar ke paidayyish hi se seeng nahi ya seeng tho the lekin toot gaye uski qurbaani durust he albatha agar bilkul jad se toot gaye ho tho qurbaani durust nahi 

(25) khassi yaani badhiya bakre ya mende wagairah ki bhi qurbaani durust he jis jaanwar ke khaarish yaani khujli ho uski bhi qurbaani durust he albatha agar kharasht ki wajah se bilkul laagir hogaya ho tho durust nahi 

(26) agar jaanwar qurbaani ke liye khareed liya tab koi aisa aib paida hogaya jis se qurbaani durust nahi tho is ke badle dusra jaanwar khareed kar  ke qurbaani kare haan agar gareeb aadmi ho jis par qurbaani karna waajib nahi tho is ke waaste durust he wahi jaanwar qurbaani karde 

(27) qurbaani ka gosht aap khawe aur apne rishte naathe ke logon ko dede aur faqeeron mohtaajon ko khairaath kare aur behtar ye he ke kam se kam tihayi hissa khairaath kare khairaath me tihaayi se kami na kare lekin agar kisi ne thoda sa gosht khairaath kiya tho bhi koi gunah nahi he 

(28) qurbaani ki khaal ya tho yun hi khairaath karde aur ya bech kar uski qeemath khairaath karde o qeemath aise logon ko de zakaath ka paisa dena durust he aur qeemath me jo paise mile he biainihi wahi paisa khairaath karna chahiye agar wo paise kisi kaam me kharch kardaale aur itne hi paise aur apne paas se dediye tho buri baat he magar adaa hojaawenge

(29) is khaal ki qeemath ko masjid ki marammath ya aur kisi nek kaam me lagana durust nahi khairaath hi karna chahiye 

(30) agar khaal ko apne kaam me laawe jaise isko chilni banwaali ya mushk ya dol ya jaanamaz banwali ye bhi durust he 

(31) kuch gosht ya charbi ya chichore kasaayi o mazdoori me na dewe balke mazdoori apne paas se alag dewe

(32) qurbaani ki rassi jhool wagairah sab cheeze khairaath karde

(33)kisi par qurbaani waajib nahi thi lekin usne qurbaani ki niyyath se jaanwar khareed liya tho ab us jaanwar ki qurbaani waajib hogayi 

(34) kisi par qurbaani waajib thi lekin qurbaani ke teeno din guzar gaye aur usne qurbaani nahi ki tho ek bakri ya bhed ki qeemath khairaath kardewe aur agar bakri khareed li thi tho wahi bakri biainihi khairaath karde 

(34) jis ne qurbaani karne ki mannath maani phir wo kaam poora hogaya jis ke waasthe mannath maani thi tho ab qurbaani karna waajib he chahe maaldaar ho ya na ho aur mannath ki qurbaani ka sab gosht faqeeron ko khairaath karde na aap khaye na ameeron ko dewe jitna aap khaya ho ya ameeron ko diya ho utna phir khairaath karna padega 

(36) agar apni khushi se kisi murde ke sawaab pahunchane ke liye qurbaani kare tho iske gosht me se khud khana,khilana,baantna sab durust he jis tarah apne qurbaani ka hukm he 

(37) lekin agar koi murda wasiyyath kar gaya ho ke mere tarke me se meri taraf se qurbaani ki jaawe aur uski wasiyyath par usi ki maal se qurbaani ki gayi tho is qurbaani ki tamaam gosht wagairah ka qurbaani kardena waajib he 

(38) agar koi shakhs yeha moujood nahi aur dusre shakhs ne uski taraf se bagair uske amar ke qurbaani kardi tho ye qurbaani saheeh nahi hui aur kisi jaanwar me kisi gaayab ka hissa badoon uske amar ke tajweez karliya tho aur hissadaaron ki qurbaani bhi saheeh na hogi 

(39) agar koi jaanwar kisi ko hissa par diya he tho ye jaanwar us parwarish karne waali ki milk nahi hua balke asal maalika ki he is liye agar kisi ne is paalne waali se khareed kar qurbaani kardi tho qurbaani nahi hui agar aisa jaanwar khareedna ho tho asal maalik se jis ne hissa par diya he khareed le 

(40) agar ek jaanwar me kayi aadmi shareek he aur wo sab gosht kha kar aapas me taqseem nahi karthe balke ekjaayi fuqra wa ahbaab ko taqseem karna ya khana paka kar khilana chahe tho bhi jayez he agar taqseem karenge tho isme barabari zaroori he 

(41) qurbaani ki khaal ki qeemath kisi ko ujrath me dena jayez nahi basharate ke ujrath me na diya jaaye 

(42) agar koi jaanwar gaabhan ho tho uski qurbaani jayez he phir agar bacha zinda nikle tho usko bhi zubah karde


wallahu ta'ala aalamu bis'sawaab

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...