(1) quraan e shareef me sajda e tilaawath 14 he jahan kalaam e majeed ke kinaare par sajda likha rehta he is aayath ko padh kar sajda karna waajib hojaatha he aur is sajde ko sajda e tilaawath kehte he
(2) sajda e tilaawath karne ka tareeqa ye he ke ALLAHU AKBAR keh kar sajda kare aur ALLAHU AKBAR kehte waqth haath na uthaye sajde me kam iz kam SUBHANA RABBIYAL AALA kahe phir ALLAHU AKBAR keh kar sar uthawe bas sajda e tilaawath ada hogaya behtar ye he ke khada ho kar awwalan ALLAHU AKBAR kahe phir sajde me jaaye phir ALLAHU AKBAR keh kar khade hojaaye agar bait kar ALLAHU AKBAR kahe phir sajde me jaaye phir ALLAHU KABAR kahe phir sajde me jaaye phir ALLAHU AKBAR keh kar khada na ho tab bhi durust he
(3) sajde ki aayath ko jo shaks pade us par bhi sajda karna waajib he aur jo sune us par bi waajib hojaatha he chahe quran sunne ki qasd se baita ho ya kisi kaam me laga ho aur bagair qasd ke sajde ki aayath sun li ho uske liye behtar ye he ke sajde ki aayath ko aahista se pade ta ke kisi aur par sajda tilawath waajib na ho
(4) jo cheeze namaz ke liye shart he o sajda e tilawath ke liye bhi yaani wazu ka hona ,jagah ka paak hona,badan aur kapde ka paak hona,qible ki taraf muh karke sajda karna
(5)agar kisi ka wazu us waqth tak na ho tho phir kisi waqth wazu karke sajda karle fouran usi waqth sajda karna zaroori nahi lekin behtar ye he ke usi waqth sajda kare kyun ke shayid baad me yaad na rahe
(6) agar kisi ke zimma bahut se sajde tilaawath ke baaqi he ab tak adaa na kiye ho tho ab adaa karle umar bhar me kabhi na kabhi adaa karlena chahiye kabi adaa na kare ga tho gunahgaar hoga
(7) agar namaz me sajde ki aayath pade tho o aayath padne ki fouran baad e namaz hi me sajda karle phir baaqi surath pad kar ruku me jaaye agar is aayath ko pad kar fouran sajda na kiya uske baad 2 aayathe ya 3 aayathe pad li tab bhi sajda kiya tho ye bhi durust he agar is se bhi zyada pad gaya tab sajda kiya tho sajda adaa hogaya lekin gunahgaar hogaya
(8) agar namaz me sajde ki aayath padi aur namaz hi me sajda na kiya tho ab namaz ke baad sajda karne se adaa na hoga hamesha ke liye gunahgaar rahe ga ab siwaa e touba au istigfaar ke aur koi surath maafi ki nahi
(9) sajde ki aayath pad kar agar fouran ruku me chala jaaye aur ruku me ye niyyath kare ke my sajda e tilaawath ki taraf se bhi yehi ruku karta hun tab bhi o sajda adaa hojaayega (agar imaam ho tho muqtadiyon ki niyyath bhi zaroori hogi yaani unki bhi niyyath karni hogai ke is ruku me sajda e tilaawath ki bhi niyyath karta hun aur agar ruku me ye niyyath nahi ki thi ruku ke baad sajda jab karega tho isi sajda se sajda e tilaawath bhi adaa hojaayega chahe kuch niyyath kare chaahe na kare) is surath me muqtadiyon ki niyyath ki zarurath nahi balke un ki niyaath ki bhi adaa hojayega
(10) ek hi jagah baite baite sajde ki aayath ko kayi baar dohra kar pade tho ek hi sajda waajib he chahe sab dafa pad kar aakhir me sajda kare ya pehli dafa pad kar sajda kare phir isi ko baar baar dohraatha rahe aur agar jagah badal gayi tab bhi isi aayath ko dohraaya phir teesri jagah jaa kar wohi aayath phir padi isi tarah barabar jagah badaltha raha tho jitni dafa dohraye uthi dafa sajda kare
(11)agar ek hi jagah baite baite sajde ki kayi aayathe pade tho bhi jitni aayathe pade uthni sajde kare .
wallahu ta'ala aalamu bis'sawaab......
No comments:
Post a Comment