(1) sehri khana sunnath he agar bhook na ho khana na khaye tho Kam se kam 2,3 chuhaare hi khalewe ya koi aur cheez thodi bahut khalewe kuch na saheeh tho thoda sa paani hi peelewe.
(2)agar kisi ne sehri me khana na khayi aur uth kar ek aadha paan khaliya tho bhi sehri khane ka sawaab milgaya
(3) Sehri me jaha tak hosake der karke khana behtar he lekin itni der na kare ke subah hone lage aur Roza me shubah pad jawe
(4) Agar sehri badi jaldi khali magar uske baad paan tambaaku chai Pani der tak khati peethi rahi jab subah hone me thodi der rehgayi tab kulli kardaali tab bhi der karke khaane ka sawaab milgaya aur uska hukum bhi yehi he jo der karke khane ka hukum he
(5)Aagr raat ko sehri khane ke liye aankh na khuli Sab ke sab sogaye tho be sehri khaye subah ko roza rakho sehri choot jaane se roza chod dena badi Kam himmathi ki baat aur bada gunah he
(6) jab tak subah na ho aur fajar ka waqth na aawe tab tak sehri khana durust he uske baad durust nahi
(7) Kisi ki aankh der me khuli aur ye khiyal hua ke abhi raat baaqi he is gumaan par sehri khaali phir maloom hua ke subah hojaane ke baad sehri khayi thi tho roza nahi hua qaza rakhe aur kaffara waajib nahi lekin phir bhi kuch khaye piye nahi rozedaaron ki tarah rahe isi tarah agar sooraj doobne ki gumaan se roza khol liy phir sooraj Nikal aaya tho roza jaatha raha uski qaza kare kaffara waajib nahi aur ab jab tak sooraj na doob jaawe kuch khana peena durust nahi
(8)Agar itni der hogayi ke subah hojaane ka shubah pad gaya tho ab kuch khana makru he aur agar aise waqth kuch khaliya ya pani pee liya tho bura kiya aur gunah hua phir agar maloom hua ke us waqath subah hogayi thi tho us roza ki qaza rakhe aur agar kuch na maloom ho shubah hi shubah reh jaaye tho qaza rakhna waajib nahi he lekin ehtiyaat ki baat ye he ke uski qaza rakhlewe
(9)Mustahab ye he ke jab sooraj yaqeenan doob jaawe tho thurath roza khol daale der karke roza kholna makru he
(10)Badli ke din Zara der karke roza khol lo jab khoob yaqeen hojaaye ke sooraj doob gaya hoga tab iftiyaar karo aur sirf ghadi ghadiyaal wagaira par kuch eatemaad na karo jab tak ke tumhaara dil gawahi na Dede kyun ke ghadi shayed kuch galath hogayi ho balke agar koi azaan bhi kehdewe lekin abhi waqth aane me kuch shubah he tab bhi roza kholna durust nahi
(11) Chuhaare se roza kholna behtar he ya aur koi meethi cheez ho us se khole wo bhi na ho tho paani se iftiyaar kare baaz aurathe aur baaz mard namak ki kankari se iftiyaar karthe he aur usme sawaab samjhthe he ye galath aqeeda he
(12) jab tak sooraj ke doobne me shubah rahe tab tak iftiyaar karna jayez nahi.....
No comments:
Post a Comment