hazarth abu ayyub (r.a) se riwaayath he ke nabi kareem (s.a.w) ne irshaad farmaya :jis ne ramadaan ke roze phir uske baad shawaal ke 6 roze rakhe tho yehi soumud dehar he (yaani poore saal ke roze rakhne ke barabar he ) (tirmeedi shareef 759) ek neki ka sawab kam iz kam 10 gunah he is usool ke mutaabiq ramadaan ke roze 10mahinon ke rozon ke barabar hue ,aur uske baad shawaal ke 6 roze agar rakh liye jaaye tho ye 2 mahinon ke rozon ke barabar honge istarah use pooore saal ke rozon ke barabar sawab mil jaaye ga ,shawwal ke roze nafli he ,unhe mutawaatir bhi rakha jaasaktha he ,aur naaga karke bhi thahem shawaal hi se unki takmeel zaroori he
SHAWWAL KE ROZON KI FAZEELATH
RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA : jis ne ramadaan ke roze rakhe phir shawwal ke 6 roze bhi rakhliye ye aise he jaise wo poore saal roza rakhliya...
No comments:
Post a Comment