(1)agar oi janggal me he aur bilkul maloom nahi ke paani kaha he na waha koi aisa aadmi he jis se daryaafth kar etho aise waqth tayammul karlewe aur agar koi aadmi milgaya aur us ne ek meel sharyi ke andar paani ka pata bataya aur gumaan gaalib hua ke ye sacha he ya aadmi tho nahi mila lekin kisi nishaani se khud uska jee kehta he ke yeha ek meel sharyi ke andar andar kahe paani zaroor hr tho paani ka is qadar talaash karna ke usko aur uske saathiyon ko kisi qisam ki takleef aur harj na ho zaroori hr be doonde tayammul karna durust nahi he aur agar khoob yaqeen he paani ek meel sharyi ke andar he tho paani laana waajib he
FAIDA : meel sharyi meel angrezi se zara zyada hotha he yaani angrezi ek meel poora aurr uska 8 wa hissa ye sab milkar ek meel sharyi hotha he
(2) agar paani ka patha chal gaya lekin paani ek meel se door he tho itni door ja kar paani laana waajib nahi he balke tayammul karlena durust he
(3) agar koi aabaadi se ek meel ke faasle par ho aur ek meel se qareeb kahi paani na mile tho bhi tayammum karlena durust he chahe musaafir hho aur musaafir na ho thodi door jaane ke liye nikli ho
(4) agar raah me kunwan tho mil gaya magar lota dor paas nahi he isliye kunwe se pani nikaal nahi sakti na kisi aur se maange milsakta he tho bhi tayammum durust he
(5) agar kisi paani milgaya lekin bahut thoda he tho agar itna ho ke ek ek dafa muh aur donon haath aur donon pair dho sake tho tayammum karna durust nahi he balke ek ek dafa in cheezon ko dhowe aur sar ka masah karlewe aur kulli wagairah karna yaani wazu ki sunnathe chod de aur agar itna bhi na ho tho tayammum karle
(6) agar bemaari ki wajah se paani nuqsaan kartha ho ke agar wazu ya gusul kare gi tho bemaari bad jaawegi ya der me achi hogi tab bhi tayammum durust he lekin agar thanda paani nuqsaan karta ho aur garam paani nuqsaan na kare tho garam paani se gusul karna waajib he albatha agar aisi jagah he ke garam paani nahi mil saktha tho tayammum karna durust he
(7) agar paani qareeb he yaani yaqeenan ek meel se kam door he tho tayammum karna durust nahi jaa kar paani lana aur wazu karna waajib he mardon se sharam ki wajah se paani lekar na jaana aur tayammum karlena durust nahi aisa parda jis me shariath ka koi hukm choot jaaye na jayez aur haraam he burqa pehen kar ya saare badan se chaadar lapet kar jaana waajjib he albatha logon ke saamne bait kar wazu na kare aur unke saamne haath muh na khole
(8) jab tak paani se wazu na karsake barabar tayammum karti rahe chahe jitne din guzar jaaye kuch khiyaal wa waswasa na laawe jitni paaki wazu aur gusul karnese hothi he uthni hi paaki tayammum se bhi hojaathi he ye na samjhe ke tayammum se achi tarah paak nahi hothi
(9) agar paani mol biktha he tho agar uske paas daam na ho tho tayammum karlena durust he aur agar daam paas ho rasthe me kiraya bhaade ki jitni zarurath padegi us se zyada bhi he tho khareedna waajib he albatha agar itna girah beche ke itne daam koi laga hi nahi sakta tho khareedna waajib nahi tarammum karlena durust he aur agar kiraaya wagairah raste ki kharcch se zyada daam nahi he tho bhi khareedna waajib nahi tayammum karlena durust he
(10) agar kahi itni sardi padthi ho aur barf kat'thi ho nahane se marjaane ya bemaar hojaane ka khaouff ho aur rizaayi lihaaf wagairah koi aisi cheez bhi nahi ke naha kar ke is me garam ho jaawe tho aisi majboori ke waqth tayammum karlena durust he
(11)agar kisi ke aadhe se zyada badan par zakham ho ya cheechak nikli ho tho nahana waajib nahi balke tayammuum karlewe
(12) agar kisi maidaan me tayammum karke namaz padli aur waha se paani qareeb hi tha lekin usko khabar na thi tho tayammum aur namaz donon durust he jab maloom ho tho dohraana zaroori nahi
(13) agar safar me kisi aur ke paas paani ho tho apni jee ko dekhe agar andar se dil kehta ho ke agar me maangungi tho paani miljaawega tho bemaange huye tayammum karlena durust nahi aur andar se dil ye kehta ho ke maangne se wo shakhs paani na dewe ga tho be maange bhi tayammum karke namaz padlena durust he lekin agar namaz ke baad is se paani maanga aur us ne de diya tho namaz ko dohraana padega
(14)agar zam zam ka paani zamzami me bhara hua he tho tayammum karna durust nahi zam zamiyon ko khol kar us paani se nahana aur wazu karna waajibb he
(15) kisi ke paas paani tho he lekin raasta aisa kharaab he ke kahi paani nahi milsakta isliye raah me piyaas ke maare takleef aur halaakath ka khouff he tho wazu na kare tayammum karlena durust he
(16) agar gusul karna nuqsaan karta ho aur wazu nuqsaan na kare tho gusul ki jagah tayammum kare phir agar tayammum aur gusul ke baad wzu toot jaaye tho wazu ke liye tayammum na kare balke wazu ki jagah wazu karna chahiye aur agar tayammum gusulk se koi baat wazu thod dene waali bhi paayi gayi aur phir gusul ka tayammum kiya ho tho yehi tayammum gusul wa wazu donon ke liye kaafi he
(17)tayammum karne ka tareeqa ye he ke donon hath paak zameen par maare aur saare muh ko mal lewe phir dusri martaba zameen par donon haath maare aur donon haatho par kohni sameth male chudiyon kangan wagairah ke darmiyaan achi tarah male agar is ke gumaan me naakhun barabar bhi koi jagah choot jaawegi tho tayammum na hoga angote challe utaar daale ta ke koi jagah choot na jaaye ungliyon me khilaal karlewe jab ye donon cheeze kar le tho tayammum hojayega
(18) mitti par haath maar ke haath jhaad daale ta ke muh par bhabuth na lagjaawe aur surath na bigde
(19) zameen ke siwa aur jo cheez mitti ki qisam se ho us par bhi tayammum durust he jaise mitti,reth,pathar,gach,choona,hadthaal,surma,wagairah aur jo cheez mitti ki qisam se na ho us se tayammum durust nahi jais asona,chaandi,raanga,gehu,lakdi,kapda aur anaaj wagairah haan agar in cheezon par gard wa mitti lagi ho us waqth albatha un par tayammuum durust he
(20) jo cheez na tho aag me jale aur na gale o cheez mitti ki qisam se he us par tayammum durudt he aurr cheez jal kar raakh hojaaye ya ghul jaaye us par tayammum durust nahi isi tarah raakh par bhi tayammum durust nahi....
No comments:
Post a Comment