(1) jab maal par poora saal guzar jaawe tho fouran zaakkaath adaa karde nek kaam me deri lagana acha nahi ke shayid achanak mouth aajawe aur ye muwakhiza apne gardan par reh jaawe agar saal guzare aur zakaath ada nahi ki yaha tak ke dusra saal bhi guzar gaya tho gunahgaar hui ab bhi touba karke donon saal ki zakaath dede garz Umar bhar me kabhi na kbhi Dede baaqi na rakhe
(2) jitna maal he usme chaliswan (40) hissa zakaath Dena wajib he yaani 100 rupay me dhaayi rupe aur 40 rupay me 1 rupay
(3) jis waqth zakaath ka rupiya kisi gareeb ko dewe uswaqth apne dil me ye zaroor khiyaal karle ke me zakaath me dethi hun agar ye niyyath nahi ki yun hi dediya tho zakaath ada nahi hui phir se Dena chahiye aur jitna Diya he uska sawaab alag milega
(4)agar faqeer ko dethe waqth ye niyyath nahi ki tho jab tak o maal faqeer ke paas rahe us waqth tak ye niyyath karlena durust he ab niyyath Karlene se se zakaath ada hojaawegi albatha jab faqeer ne kharch kardaala uswaqth niyyath Karlene ka eatebaar nahi he ab phir se zakaath dewe.
(5)kisi ne zakaath ki niyyath se 2 rupiye nikal kar alag rakh liye ke jab koi mustahiq mile ga usko dedungi phir jab faqeer ko dediya uswaqth zakaath ki niyyath karna bhool gayi tho bhi zakaath adaa hogayi albatha agar zakaath ki niyyath se nikaal kar alag na rakhti tho adaa na hothi
(6) kisi ne zakaath ki rupiye nikaale tho ikhtiyaar he chaahe ek hi ko sab Dede ya thoda thoda karke kayi gareebon ko Dede aur chaahe usi din sab Dede ya thoda thoda karke kayi mahinon me Dede
(7)behtar ye he ke ek gareeb ko kam iz kam itna Dede ke us din ke liye kaafi hojaawe kisi aur se maangna na pade
(8)ek hi faqeer ko itna maal dedena jitne maal ke hone se zakaath waajib hothi he makru he lekin agar Dediya tho zakaath adaa hogayi aur us se kam Dena jayez he makru nahi
(9) koi aurath qaraz maangne aayi aur ye maloom he ke wo itni tangdast aur muflis he ke kabhi ada na karsakegi ya aisi na dehend he ke qaraz le kar kabhi ada nahi karti usko qaraz ke naam se zakaath ka rupiya dediya aur apne dil me soch liya ke me zakaath dethi hun tho zakaath ada hogayi agarche wo apne dil me yehi samjhe ke mujhe qaraz diya he
(10) agar kisi ko inaam ke naam se kuch diya mgar dil me yehi niyyat he ke me zakaath dethi hun tab bhi zakaath ada hogayi
(11)kisi gareeb aadmi par tumhaare 10 rupiye qaraz he aur tumhaare maal ki zakaath bhi 10 rupiye ya us se zyada he usko apna qaraz zakaath ki niyyath se muaaf kardiya tho zakaath ada nahi hui albatha usko 10 rupiye zakaath ki niyyath se dedo tho zakaath adaa vy hogayi ab yehi rupiye apne qaraz me us se lelena durust he.
(12)kisi ke paas chaandi ka itna zewar he ke hisaab se 3 thola chaandi ki hothi he aur baazaar me 3 thola chaandi 2 rupiye bikti he tho zakaath me 2 rupiye chaandi ke dedena durust nahi kyunki 2 rupiye ka wazan 3 thola nahi hotha aur chaandi ki zakaath me jab chaandi dijaawe tho wazan ka eatebaar hotha he qeemath ka eatebaar nahi hotha Sona (gold) khareed karke dediya ya 2 rupiye gilt ke ya 2 rupiye ke paise ya 2 rupiye ki gilt ki rezgaari ya 2 rupiye ka kapda ya aur koi cheez dedi ya khud 3 thola chaandi Dede tho durust he zakaath ada hojaawegi.
(13) zakaath kaa rupiya khud nahi diya balke kisi aur ko dediya ke tum kisi ko dedena ye bhi jayez he ab wo shaks dethe waqth zakaath ada ki niyyat na bhi karlen zakaath ada hojayegi
(14) kisi gareeb ko dene ke liye tum ne 2 rupiye kisi ko diye lekin usne biainihi(bilkul) wohi 2 rupiye faqeer ko nahi diye jo tum ne diye the balke apne paas se 2 rupiye tumhaari taraf se dediye aur ye khiyaal Kiya ke wo rupiye me lelunga tab bhi zakaath ada hogayi basharthe ke tumhaare rupiye uske paas moujood ho aur ab o shakhs apne 2 rupiye ke badle me tumhare wo donon rupiye lelewe albatha agr tumhaare diye hue rupiye usne pehle kharch kar daala uske baad apne rupiye gareeb ko diye tho zakaath ada nahi hui ya tumhare rupiye uske paas rakhe tho he lekin apne rupiye dethe waqth ye niyyath na thi ke me wo rupiye lelunga tab bhi zakaath ada nahi hui ab wo dono rupiye zakaath me dewe
(15)agar tum ne rupay nahi diye lekin itna kehdiya ke tum hamaari taraf se zakaath dedena isliye usne tumhari taraf se zakaath dedi tho ada hogayi aur jitna usne tumhari taraf se diya he ab tum se lelewe.
(16)agar tum ne kisi se kuch nhi kaha usne bila tumhaari ijazath ke tumhaari taraf se zakaath dedi tho zakaath ada nahi hui ab agar tum manzoor bhi karlo tab bhi durust nahi aur jitna tumhari taraf se diya he tumse wasool karne ka usko haq nahi
(17) tum ne ek shaks ko zakaath dene ke liye 2 rupiye diye tho usko ikhtiyaar he chaahe khud kisi gareeb ko Dede ya kisi aur ke supurd karden ke tum ye rupiya zakaath me Dedena aur naam ka bathlana zaroori nahi he ke falani ki taraf se ye zakaath Dena aur wo shaks wo rupiya agar apne kisi rishtedaar ya maa baap ko gareeb dekh kar Dede tho bhi durust he lekin agar wo khud gareeb ho tho aap hi lelena durust he albatha agar tum ne ye keh diya ho ke jo chaahe karlo aur jise chaahe dedo tho aap bhi lelena durust he۔۔
No comments:
Post a Comment