(1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paani chote bartan me rakha ho jaise lota aanjura tho usko baayen haath se utha kar daayen haath par daale aur 3 dafa dhoye phir bartan daahne haath me lekar baaya haath 3 dafa dhoye aur agar chote bartan me paani na ho bade matke wagairah me ho tho kisi aanjurah wagairah se nikaal le lekin ungliyaan paani me na doobne paaye ,aur agar aanjurah wagairah kuch na ho tho baayen haath ki ungliyonn se chullu bana kar paani niaakle, aur jahan tak hosake paani me ungliyaan kam daale aur paani nikaal kar pehle daahna haath dhoye jab wo haath dhul jaaye tho daahna haatha jitna chaahe daalde aur paani nikaal kar baayan haath dhoye aur ye tarteeb haath dhone ki us waqth he ke haath na paak na ho aur agar na paak ho tho hath hargeez matke me na daale balke kisi aur tarteeb se paani nikaale ke najis na hone paawe maslan paak rumaal daal kar nikaale aur jo paani ki dhaar rumaal se bahe us se hath paak karle ya jis tarah mumkin ho paak karle
(2) jo najasath agge ya peeche ki raah se nikle us se istinja karna sunnath he
(3) agar najasath bilkul idhar udhar na lage aur isliye paaani se istinja na kare balke paak pathar ya dhele se istinja kare aur itna ponch daale kenajasath jaathi rahe aur badan saaf hojaye tho bbhi jayez he lekin ye baat safayi mizaaj ke khilaaf he albatha agar paani na ho aur kam ho tho majboori he
(4) dhele se istinja karne ka koi khaas tareeqa nahi he bas itna khiyaal rakhe ke najasath idhar udhar phelne na paawe badan khoob saaf hojaaye
(5) dhele se istinja karne ke baad paani se istinja karna sunnath he lekin agar najasath hatheli ke gehraau yaani rupe se zyada phel jaawe tho aise waqth paani se dhona waajib he,be dhoye namaz na hogi aur agar najasath pheli na ho faqth dhele se paak karke bhi namaz durust he lekin sunnath ke khilaaf he
(6) paani se istinja kare tho pehle donon hath guton tak dholewe phir tanhaayi ki jagah jaa kar badan deela karke baite aur itna dhoye ke dil kehne lage ke ab badan paak hogaya albatha agar koi shakki mizaaj ho ke paani bahut phenkthi ho phir bhi dil achi tarah saaf nahi hotha tho usko ye hukm he ke 3 dafa ya 7 dafa dholewe bas us se zyada na dhoye
(7) agar kahi tanhayi ka moqa na mile tho paani se istinja karne ke liye kisi ke saamne apne badan ko kholna durust nahi na mard ke saamne na aurath ke saamne aise waqth paani se istinja na kare aur be istinja kiye namaz padlewe kyunke badan ka kholna bada gunah he
(8) hiddi aur najasath jaise gobar leedh wagairah aur koyila aur kankar aur sheesha aur pakki eent aur khane ki cheez aur kaagaz se aur daahne haath se istinja karna bura aur mana he na karma chahiye lekin lekin agar koi karle tho paak hojaayega
(9) khade khade peshaab karna mana he
(10) peshaab aur pakhana karthe waqth qibla ki taraf muh karna aur peet karna mana he
(12) istinje ke bache hue paani se wazu karna durust he aur wazu ke bache hue paani se istinja bhi durust he lekin na karna behtar he
(13) jab pakhana peshaab ko jaawe tho pakhana ke darwaaze se baahir BISMILLAH kahe aur ye dua pade ALLAHUMMA INNI AUZUBIKA MINAL KHUBSI WAL KHABAAYIS aur nange sar na jaaye aur agar kisi angiti wagairah par ALLAH RASOOL ka naam ho tho usko uthaar daale aur pehle baaya pair rakhe aur andar khuda ka naam na lewe agar cheenk aawe tho faqth dil hi dil me ALHAMDULILLAH kahe zubaan se kuch na kahe na waha kuch bole na baat kare phir jab nikle tho daahna pair pehle nikaale aur darwaazah se nikal kar ye dua pade GUFRANAKA ALHAMDULILLAHILLAZI AZHABA ANNIL AZAA WA'AAFAANI aur istinje ke baad baaye haath ko zameen par ragad ke ya mitti se mal kar dhoye
WALLAHU TA'ALA AALAMU BIS'SAWAAB
No comments:
Post a Comment