Saturday, 4 May 2024

JIN CHEEZON SE GUSUL WAAJIB HOTHA HE UNKA BAYAN

 (1) sothe ya jaagthe me jab jawaani ke josh ke sath mani nikal aawe tho gusul waajib hojaatha he chaahe mard ke haath lagane se nikle ya faqth  khiyaal aur dhiyaan karne se nikle ya aur kisi tarah nikle har haal me gusul waajib he 

(2) agar aankh khuli aur kapde ya badan par mani lagi hui dekhi tho bhi gusul karna waajib he chaahe sothe ne koi khwaab dekha ho ya na dekha ho 

TAMBIYA : jawaani ke josh ke waqth awwal awwal jo paani nikaltha he uske nikalne se josh zyada hojaatha he kam nahi hotha usko mazi kehte he aur khoob mazah aakar jo jee bhar jaatha he uswaqth jo nikaltha he usko mani kehte he aur pehchaan un donon ki yehi he ke mani nikalne ke baad jee bhar jaatha he aur josh thamda pad jaatha he aur mazi nikalne se josh kam nahi hotha balke zyada hojaatha he aur mazi pathli hothi he aur mani gaadi hothi he so faqth mazi nikalne se gusull waajib nahi hotha albatha wazu toot jaatha he

(3) jab mard ki peshaab ke maqaam ke sapari andar chali jaawe aur chup jaawe tho gusul waaib hojaathahe chaahe mani nikle ya na nikle mard ki sapari aage ki raah me gayi ho tho bhi gusul waajib he chaahe kuch bhi  na nikla ho aur agar peeche ki raah me gayi ho tab bhi gusul waajib he lekin peeche ki raah se karna aur karana bada gunah he

(4)jo khoon har mahina aage ki raah se aaya kartha he usko haiz kehthe he jab ye khoon band hojaawe tho gusul karna waajib he aur jo khoon bacha paida hone ke baad aata he usko nifaas kehte he uske band hone par bhi gusul waajib he khulasa ye he ke 4 cheezon par gusul waajib hotha he (1) josh ke sath mani nikalna (2) mard ki sapaari ka andar chala jaana (3) haiz aur (4) nifaas ke khoon ka band hona 

(5) chodi ladki se agar kisi mard ne sohabbath ki jo abhi jawaan nahi hui he tho us par gusul waajib nahi he elkin aadath daalne ke liye us se gusul karana chahiye

(6) sothe me mard ke paas rehne aur sohabbath karne ka khwaab dekha aur maza bhi aaya lekin aankh khuli tho dekha ke mani nahi nikli he tho us par gusul waajib nahi he albatha agar mani nikal aayi ho tho gusul waajib he aur agar kapde ya badan par kuch beegabeega maloom ho lekin ye khiyaal hua ke ye mazi he mani nahi he tab bhi gusul karna waajib he 

(7) agar thodi si mani nikli aur gusul karliya phir nahane ke baad aur mani  nikal aayi tho phir nahana waajib he aur agar nahane ke baad shohar ki mani nikli jo aurath ke andar thi tho gusul durust hogaya phiur nahana waajib nahi 

(8) bemaari ki wajah se ya aur kisi wajah se aap hi aap mani nikal aayi magar josh aur khwahish bilkul nahi thi tho gusul waajib nahi albatha wazu toot jaawega 

(9) miya biwi donon ek palang par so rahe the jab uthe tho chaadar par mani ka dhabba dekha aur sothe me khwaab ka dekhna na mard ko yaad he na aurathh ko tho donon nahane me ehtiyaat isi me he kyun ke maloom nahi ye kis ki mani he 

(10) jab koi kaafir musalmaan hojaaye tho usko gusul karlena mustahab he 

(11) jab koi murde ko nehlaawe tho nehlaane ke baad gusul karlena mustahab he 

(12) jis par nahana waajib he wo agar nahane ke pehle kuch khana peena chaahe tho pehle apna haath aur muh dho lewe aur kulli karlewe tab khaaye piye aur agar be haath dhoye khaye piye tab bhi koi gunah nahi he 

(13) jin ko nahane ki zarurath he unko kalaam e majeed ka choona aur uska padna aur masjid me jaana jaayez nahi aur allah ta aala ka naam lena aur kalimah padna aur darood e shareeff padna jayez he aur is qisam ke masaayilon ko hum in sha allah haiz ke baab me achi tarah bayan karege waha dekh lena chahiye 

(14) tafseer ki kitaabon ko be nahaye aur be wazu choona makru he aur tarjuma daar quraan ko choona bilkul haraam he 

wallahu ta aala aalamu bis'sawaab 

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...