(1) agar chamde ke moze wazu karke pehan lewe aur phir wazu toot jaawe tho phier wazu karthe waqth mozon par masah karlena durust he aur agar moza uthaar kar pair dho liya kare tho ye sab se behtar he
(2) agar moza itna chota ho ke takhne moze ke andar chupe hue na ho tho us par masah durust nahi isi tarah agar bagair wazu kiye moza pehen liya tho is par bhi masah durust nahi uthaar kar pair dhona chahiye
(3) musaafirath me 3 din 3 raat tak mozon par masah karna durust he aur jo musaafirath me na ho usko 1 din aur 1 raat aur jis waqth wazu toota he us waqth se 1 din raat ya 3 din raat ka hisaab kiya jaayega jis waqth moza pehna he uska eatebaar na karenge jaise kisi ne zuhar ke waqth wazu karke moza pehna phie suraj doobne ke waqth wazu toot tho agle din ke suraj doobne tak masah karna durust he aur musaafirath me teesre din ke suraj doobne tak jab sooraj doob gaya tho abb masah karna durust nahi raha
(4) agar koi aisi baat hogayi jis see nahana waajib hogaya tho moza uthaar kar nahawe gusul ke sath moze par masah karna durust nahi
(5) moza ke upar ki taraf masah kare talwe ki taraf masah na kare
(6) moze par masah karne ka tareeqa ye he ke hath ki ungli tar karke aage ki taraf rakhe ungliya tho samochi moza par rakh dewe aur hatheli moze se alag rakhe aur unko kheench kar takhne ki taraf lejaawe aur agar ungliyon ke sath hatheli bhi rakh dewe aur hatheli sameth ungliyon ko kheench kar lejaawe tho bhi durust he
(7) agarr koi ulta masah kare yaani takhne ki taraf se kheech kar ungliyon ki taraf laawe tho bhi durust he lekin mustahab ke khilaaf he aise hi agar lambaao me masah na kare balke moze ke choudaan me masah kare tho bhi durust he lekin mustahab ke khilaaf he
(8) agar talwe ki taraf ya yedi par ya moze ke agal bagal me masah kare tho ye masah durust nahi hua
(9) agar poori ungliyon ko mozr par nahi rakha balke faqth ungliyon ka sara moze par rakh diya aur ungliya khadi rakhi tho ye masah durust nahi hua albatha agar ungliyon se paani barabar tapak raha ho jis se beh kar 3 unglyon ke barabar paani moza ko lag jaawe tho durust ho jaawega
(10) masah me mustahab tho yehi he ke hatheli ke taraf se masah kare aur agar koi hatheli ke upar ki taraf se masah kare tho bhi durust he
(11) agr kisi ne moze par masah nahi kiya lekin paani baraste waqth baahar nikli ya bheegi ghaas me chali jis se moza bhig gaya tho masah hogaya
(12) hath ki 3 ungliyon bhar har moza par masah karna farz he us se kam me masah durust na hoga
(13) jo cheez wazu thod dethi he is se masah bhi toot jaatha he aur mozon ke uthaar dene se bhi masah toot jaatha he tho agar kisi ka wazu tho nahi toota lekin usne moze uthaar daale tho masah jaatha raha ab doonon pait dho lewe phir se wazu karne ki zarurath nahi he
(14) agar ek moza uthaar daala tho dusra moza bhi uthaar kar donon paaon ka dhona waajib he
(15) agar masah ki muddath poori hogayi tho bhi masah jaatha raha agar wazu na tota ho tho moza uthaar kar donon paaon dhoye poore wazu ka dohrana waajib nahi aur agar wazu toot gaya ho tho moze uthaar kar poora wazu kare
(16) moza par masah karne ke baad kahi paani me pair pad gaya aur moza deela tha isliye moze ke andar paani chala gaya aur saara paaon ya aadhe se zyada paaon bheeg gaya tho bhi masah jaatha raha dusra moza bhi uthaar dewe aur donon pair achi tarah se dhowe
(17) jo moza itna phat gaya ho ke chalne me pair ke choti 3 ungliyon ke barabar khul jaatha he tho us par masah durust nahi aur agar us se kam khultha ho tho masah durust he
(18) agar moza ki seewan khul gayi lekin us me se pair nahi dikhlaayi detha tho masah durust he aur agar ais aho ke chalthe waqth tho 3 ungliyon ke barabar pair dikhlaayi detha he aur yun nahi dikhlaayi detha tho masah durust nahi
(19) agar 1 moza ma 2 ungliyon ke barabar pair khul jaatha he aur dusri moza me 1 ungli ke barabar tho kuch harj nahi masah jaayez he aur agar 1 hi moza kayi jagah se phata he aur sab mila kar 3 ungliyon ke barabar khul jaatha he tho masah jaayez nahi aur agar itna kam ho ke sab mila kar bhi poori 3 ungliyon ke barabar nahi hotha tho masah durust he
(20) kisi ne moza par masah karna shuru kiya aur abhi 1 din raat guzar ne na paaya tha ke musaafir hogayi tho 3 din raat tak masah karti rahe aur agar safar se pehle hi 1 din raat guzar jaawe tho muddath khatam hochuki pair dho kar phir se moza pehne
(21) aur agar musaafirath me masah karti thi phir ghar pahunch gayi tho agar 1 din raat poora hochuka he tho ab moza uthaar de us par masah durust nahi he aur agar abhi ek din raat bhi nahi hua tho ek din raat poora karle is se zyada tak masah durust nahi
(22) avgar jurraab ke upar moze pehanne he tab bhi mozon par masah durust he
(23) jurraabon par masah karna durust nahi he albatha agar un par chamda chada diya gaya ho ya saare mozon par chamda na chadaya ho lekin mardana jootha ki shakal par chamda laga diya gaya ho ya bahut sangeen aur sakht ho ke bagair kisi chez se baande hue aap hi aap tehre rehthe ho aur unko pehan kar 3,4 meel rasta bhi chal sakti ho tho un sab surathon me jurraab par bhi masah durust he
(24) burqa aur dastanon par masah durust nahi
wallahu ta'ala aalmu bis'sawaab
No comments:
Post a Comment