Thursday, 9 May 2024

najasath ko paak karne ke mazeed masaaayil

(31) bichone ka ek kona najis he ,aur baaqi sab paak he tho paak kone par namaz padna durust he 

(32) jis zameen ko gibar se leepa ho wo najis he,us par bagair koi paak cheez bichaye namaz durust nahi

(33) gobar se leepi hui zameen agar sookh gayi ho tho us par geela kapda bicha kar bhi namaz padna durust he lekin wo itna geela na ho ke us zameen ki kuch mitti choot kar kapde me bhar jaawe

(34) pair dho kar napaa zameen par chali aur pair ka nishaan zameen par ban gaya tho us se pair na paak na hoga haan agar pair ke paani se zameen itni bheeg jaawe ke zameen ki kuch mitti ya ye najis najis paani pair me lag jaaye tho najis hojaawega

(35) najis bichone par sooyi aur paseene se wo kapda nim hogaya tho uska bhi yehi hukm he ke uska kapda aur badan napaak na hoga haan agar itna bheeg jaawe ke bichone me se kuch najasath choot kar badan ya kapde ko lag jaaye tho najis hojaawega

(36) najis mehendi haathon aur pairon me lagayi tho 3 dafa khoob dhodaalne se haath pair paak hojaawenge rang ka chudaana waajib nahi

(37) najis surma ya kaajal aankhon me lagayi tho uska ponchna aur dhona waajib nahi haan agar phel kar baahar aankkh ke aagaya ho tho dhona waajib he 

(38) najis tel sar me daal liya ya badan me laga liya tho qayise ke muafiq 3 martaba dhone se paak hojaawega saboon laga kar tel ka chudaana waajib nahi he

(39) kuthe ne aate me muh daal diya ya bandar ne jhoota kardiya tho agar aata gunda hua ho tho jahan muh daala he itna nikaal daale baaqi ka khana durust he aur garr sookha aata ho tho jaha jaha uske muh ka luaab laga ho nikaal daale baaqi sab paak he

(40) kuthe ka luaab najis he aur khud kutha najis nahi-so agar kutha kisi ke kapde ya badan se chu jaaye tho najis nahi hotha chaahe kuthe ka badan sookha ho ya geela haan agar kuthe ke badan par koi najasath lagi ho tho aur baar he

(41) rumaali bheegi hone ke waqth hawa nikle tho us se kapda najis nahi hua

(42) najis paani me jo kapda bheeg gaya tha uske sath paak kapde ko lapet kar rakh diya aur uski tari us paak kapde me aagayi lekin na tho us me najasath ka kuch rang aaya na badbu aayi-tho agar ye paak kapda itna bheeg gaya ho ke nichodne se ek aadh qatra tapak pade ya nichodthe waqth haath bheeg jaaye tho wo paak kapda bhi najis hojaawega aur agar itna na bheega ho tho paak rahega aur agar peshaab wagairah khaas najasth ke bheege hue kapde ke sath lapet diya tho jab paak kapde me zara bhi uski nami aur dhabba aagaya tho najis hojaawega

(43) agar lakdi ka takhta ek taraf se najis he aur dusri taraf se paak he tho agar itna mota he ke beech se chir saktha he tho usko palat kar dusri taraf namaz padna durust he aur agar itna mota na ho tho durust nahi 

(44)  dho teh ka koi kapda he,aur ek teh ka najis he dusri paak he tho agar donon thehe sili hui na ho tho paak teh ki taraf namaz padna durust he aur agar sili hui ho tho paak teh par bhi namaz padna durust nahi

wallahu ta'ala aalamu bis'sawaab

No comments:

Post a Comment

ISTINJE KA BAYAN

 (1) jabb so kar uthe tho jab tak guton tak haath na dhole tab tak haath paani na daale chaahe haath paak ho aur chaahe na paak ho,agar paan...